Saturday, September 14, 2024
HomeSliderTelangana mein school's kholne ke faisle par adalat ki rok walidain ko...

Telangana mein school’s kholne ke faisle par adalat ki rok walidain ko rahat

Hyderabad: Telangana high court ne 1st September se riyasat mein school’s aur colleges ki kushadgi ke ziman mein daaqil karda darqast par simaet karte huwe is faisle par ek hafte ke liye hukum iltewa diya hain. Jiske baad ab Telangana mein school’s kam se kam ek hafte ke liye mazeed band raheinge. Telangana high court ne ek hafte tak schools kholne ke riyasati hukoomat ke faisle par hukum iltewa jaari kar diya hain.

Yaad rahe ke Telangana hukoomat ne 1st September se tamaam taleemi idarein dobara kholne ka faisla kiya tha lekin bohut se walidain mein be chaini thi aur woh apne bacho ko school bhejne ke liye tayyar nahi the. Zyada tar walidain khas taur par primary aur secondary school ke tulaba ke walidain bacho ko school bhejne ke liye tayyar nahi the.

ALSO READ: Walidain ki Aksariyat apne bacho ko school rawana karne ke haq mein nahi

Walidain jokham lene ke liye tayyar nahi hain kyun ke covid mamle jaari hai aur bacho ke liye vaccine abhi dastiyab nahi hain. Unke bacho ko covid se mutasir hone ka khauf walidain ki aksariyat ko fauri taur par jismani classes ke liye na bhejne par majboor kar sakta hain lekin faisla karne se pehle chand hafton tak intezar karne ko tarjeeh di jarahi thi aur ab adalat ke faisle ke baad walidain ne rahat ki saans li hai. Riyasati hukoomat ne 1st September se riyasat bhar mein KG se PG tak tamaam taleemi idarein dobara kholne ka faisla kiya tha. Yeh faisla Chief Minister KCR ne vazeer taleem Sabita Indira Reddy aur Senior auhdedar ke saath munaqida ijlas mein liya gaya.

Muhkema sehat ke auhdedaro ne apni report mein kaha tha ke riyasat mein covid ki Surat e haal qaboo mein hai. Chief Minister ne elaan kiya tha ke tamaam taleemi idarein ba shamool aangan wadiyan dobara khole jaeinge. Muhkama taleem ke auhdedaro ki musalsil bandish ki wajeh se tulaba bil khusoos school ke bache nafsiyati dabao ka shikar hain aur is se unke musataqbil par asar padh sakta hain. ZIsko zehan mein rakhte huwe aur tamaam pehluon ka mutala karne ke baad aur sab ki rai lene ke baad chief minister ne faisla kiya ke tamaam taleemi idarein ehtiyati tadabeer ke saath dobara khole jaeinge.

Andhra pradesh samait kuch riyasatein pehle hi school khol chuki hain. Padosi riyasat ne ek hafte pehle school dobara khole taa hum jis din Telangana hukoomat ne tamaam taleemi idarein dobara kholne ka faisla liya Andhra Pradesh ke zilaa Krishna mein ek sarkari school ke 4 tulaba covid se mutasir paye gaye. 16 August ko riyasat mein school dobara kholne ke baad Guntoor aur Parkasham izlaa ke sarkari schools ke kuch tulaba bhi corona se mutasir huwe.

Online classes ke baare mein wazahat ki kami ne walidain ko bhi muqamse mein dal diya hain. Tamaam taleemi idaron ko dubara kholne ka elaan karte huwe hukoomat ne yeh wazeh nahi kiya ke in tulaba ke liye online classes jaari raheigi jinke walidain unhe shaqsi taur par school bhejne ke liye tayyar nahi hain. Zyada tar walidain ka khayal hain ke hukoomat ko online classes jaari rakhni chahiye jab tak ke wabai marz ka khatra mukammil taur par khatam na hojaye.