Saturday, April 27, 2024
HomeOthersBusinessAircel ko 1.76 crore ka dhoka dekar 10 saal se mafroor dhoke...

Aircel ko 1.76 crore ka dhoka dekar 10 saal se mafroor dhoke baaz giraftar.

New delhi: Maroof Telecom company Aircel ko Ek 1 crore 76 lacks ka dhoka de kar taqreeban 10 saal se mafroor mulzim ko Delhi police ne giraftar kar liya hai. Additional commissioner of police RK Singh ne tafseelat batate huwe kaha ke 34 saala satrish mohan sharma ko mangal ko Delhi ke Bidarpur ilaaqe ke Jeetpur se ek ittela ki buniyad par giraftar kiya gaya. Woh is ilaaqe mein Jeetpur extension part one ka rihayesh hain.

Unho ne mazeed kaha ke satrish par jaali dastawizaat ki buniyad par Aircel company ki 10 mobile sim hasil karne aur un numbers se badi tetaad mein beroon mumalik call kar ke 1 crore 76 hazar rupiye ka dhoka karne ka ilzam hai. International calling and roming ki sahuliyat wale in sim cards ke zariye usne badi tetaad mein call kiye. Nepal ki ek Telecom company ne in numbers ke zariye beruni mumalik mein badi tetaad mein call aane par shukook o shubuhat ka izhar kiya tha.

Is buniyad par company ke ek majaaz numainde ne January 2010 mein is ke khilaf iqtesadi jaraem ke shobe mein dhoka dahi ki report darj karwayi thi. Shikayat mein kaha gaya tha ke satrish ne apni shanaqt Deepak rawat ke taur par ki thi aur usi naam ke jaali dastawizaat paish kar ke mobile phone connection hasil kiye the. Usne la bela export and import company ke naam se connection hasil kiye the.

Delhi police ke iqtesadi jaraem wing ne apni tehqeeqat shuroo ki lekin mulzim ne muqadme ki tafteesh mein tawun nahi kiya. Woh giraftari se bachta raha is wajeh se use 10 October 2017 ko saakit court ne use mafroor qaraar diya tha tab se police intehai sar garmi se us ki talash kar rahi thi.

Singh ne kaha ke mulzim delhi ke bidarpur ilaaqe ka jeetpur extension bidarpur ka rihayesh hai giraftari ke baad use adalat mein paish kiya gaya jaha use do din ke liye police ki tehweel mein de diya gaya. Police is mamle mein mazeed tafteesh kar rahi hai. Unho ne kaha ke satrish is se pehle bhi isi tarha ke dhoka dahi ke muqadme mein mulawwis paya gaya tha. Is mamle mein us ke khilaf saakit thane mein FIR darj ki gayi hai.