Friday, April 26, 2024
HomeOthersBusinessInternet ke asal code ki nilami ka faisla

Internet ke asal code ki nilami ka faisla

World wide web (WWW) ke mo-jad tِm burners li ne apni ijaad ke source code ko nelaam karne ka elaan kiya hai. taham is ki aik hi digital copy bator NFT( Non f fungible token) farokht ki jaye gi. is ahem tareen ijaad ka code ab bhi awaami malkiat hai lekin un ke paas is ki aik digital file hai jis mein world wide web ka code khud unhon ne likha hai. is par waqt ki mohar ( timestamp) bhi laga hai. yeh code 9500 store par mushtamil hai jis mein internet ki language aur protocols ki tafseelaat darj hai jin mein hypertext, transfer protocol,http,hyper text mark app language (html) aur universal resourse lockter (url) hawal maujud yaha is baat ka taskira bhi ahem hai ki url humari computer screen pa r yah mukham hota jaha hum kisis bhi website ka name tehrir krte hue ,mutaliba tafsilat hasil krte hai.

Code ke sath sath is ka animated digital poster bhi bnayagya hai aur is par tِm burners li ke graft dastakhat bhi hain. is ke sath sath khredar tim burners li ke haath se likha khat bhi haasil karsaktha hai. is khat mein internet code aur is ki tafseelaat bayan ki gayi hain. tim burners li ne khat mein likha hai ke ab wapas metric code ko dekhna aik purlutf ehsas hai, yeh dekh kar khushi hoti hai ke kis terhan chand satur k code se poori duniya ke mahireen is kaam mein shaamil hue lekin mtmyin hokar mein betha nahi hon balkay web musalsal badal raha hai. agarchay yeh behtareen haalat nahi hai kyun lki hum behtari ki gunjaish humesha se rehti hai.

Yaad rahay ke internet ka aalmi zahuur 1991 mein dekha gaya tha lekin is ki asal salِ paidaiesh 1989 hai jab usay swtizerland mein yoropi markaz baraye nucleai tabiyath mein bator internal net work muta-arif karwaya gaya tha. ab yeh haal hai ke duniya bhar mein internet ko baqaidagi se istemaal karne walon ki tadaad chaar arab 60 crore se zayed hochuki hai.

Nilami ki mashhoor company sooth be is ki bazabta boli jald shuru kere gi jisay aik hazaar dollar se shuru kya jaye ga. company ke mutabiq yeh duniya ka pehla digital nadir namona hai jisay bator NFT farokht kya jaye ga. zaraye ne kaha hai ke yeh dekhna dilchasp hoga is ki boli kahan tak aur kitni raqam ki lagai jati hai.