Hyderabad: Deccani zuban mein taleemi kaamon ka aagaz Alauddin khilji ki futuhaat se buhot pehle shuroo ho chuka tha. Mutatud soofia ikram ne Deccan ko apna markaz banaya aur insaniyat ki khidmat anjaam dete rahe in mein chand naam Haaji Roomie, Syed Shah Momi, aur Baba Syed Mazher aalam wagaira ke milte hain. Ibteda mein inke zariye kiya jaane wala kaam mazmoom shakl mein tha phir nashar mein kaam hone laga.
In khayalat ka izhar professor Mohammed Naseem Uddin Faress dain school barai lisaniyat wa Hindustaniyat ne Shobe Islamic studies maulana Azad national Urdu university ki jaanib se munaqida apne online tausee khutbe Deccani Urdu mein almi sarmaya mein kiya. Unho ne mauzoo par raushni dalte huwe mazeed kaha ke Mohammed bin Tuglaq ke daur e hukoomat mein paaye taqt ki Delhi se diyogeri muntaqili ke tareeq saaz faisle ne is qitte ki lisaniyat par bhi asar dala aur Deccani urdu ko shimaali hind se aane wale logon ki zuban khadi boli ke saath milkar mazeed phalne phoolne ka mauqa mila. unho ne mazeed kaha ke Deccani urdu mein almi kaam ka ek bada hissa islami mauzooat se mutalliq hain aur is ka dusra hissa deegar mauzooat par ilmi sarmaya farahum karta hain. Tasawwuf fiqh hadees tafseer aur seerat jaise mauzooat par Deccani zuban mein pehle manzoom aur phir nashari kaam anjaam diye gaye. Deegar mauzooat mein tibb unani ilm e nujoom shyeri o adab aur tareeq wa sawaneh jaise mauzooat par bhi kaam huwe jo maqtootat ki shakl mein kutub khana salarjung meusiam kutub khana asifya adbiyat Urdu mein maujood hain.
Program ka aagaz Doctor Atif Imran (ustad shobe islamic studies)ki tilawat o tarjuma ke saath huwa. Islami mutaliaat forum shobe islamic studies ki co- ordinator mohtarma Zeeshan sara (stunt professor shobe islamic studies) ne islami mutaliaat forum ka taruf paish kiya saath hi tausee khutbe ke mauzoo aur mehmaan e khusoosi ka taruf paish kiya. program ke iqtetaam mein sadar shobe islamic studies professor Mohammed Faheem Akhter nadwi ne apne iqtetaami kalimaat mein kaha ke Dakni urdu mein hone wale islami mauzooat ke in nader kamon ko tehqeeq ke zariye saamne laane ki zimmedari islamic studies ke muhaqqiqeen ki hain. Zaroorat hain ke in kamon ka taruf taiyar kiya jaye aur in mein jo qeemti kaam hain unhe shaya kiya jaye.