Friday, March 29, 2024
HomeIndiaModi hukoomat bank's luteron ki madadgar; Congress

Modi hukoomat bank’s luteron ki madadgar; Congress

New delhi: Congress ne kaha hai ke BJP ki hukoomat bank’s ko lutne wale iqtesadi bhagodon ko beroon mulk jaane ke liye mauqa dein rahi aur phir beroon mulk mein chal rahe unke karobar ko faida pohunchane ka kaam kar rahi hai. Congress tarjuman goru bulba ne aaj yaha party head quarter mein ek press conference mein kaha hai ke Modi hukoomat ki galat policy’s ki wajeh se ab tak mahol chaukas neeru modi aur vijay maliya jaise kayi bhagodon ne mulk ke bank’s ko dhoka diya hai. Hukoomat ke naak ke neeche se beroon mulk farar hogaye hain aur unhe inke jurm ki sazaa dena mushkil ho gaya hai.

Unho ne mazeed kaha ke aise mujrimon ki fehrist bohut taweel hai aur musalsil badh rahi hai lekin hukoomat khamosh baithi hain. Is fehrist mein ek aur naam sandesra bhahiyon ka hai jo 2017 mein bank’s ko 15000 corore rupiye dhoka de kar beroon mulk farar hogaye.

Inforcement directorate ne is saal is ki Baroda company streling biotech par chapa mara lekin company ke malikaan sandesra bhai natin sandesra chetan sandesra dipti sandesra Naijeria farar hogaye hain aur Waha unho ne hitesh Kumar Narendra bhai patel aur sandesra ke saath milkar tail ki farahami ka karobar shuroo kiya. Tail companiyon ne is group ki company se tail dar aamaad kiya.

Tarjuman ne ilzam lagaya ke Naijeria mein sarkari shobe ki tail companies Hindustan petroleum corporation limited. Bhartiya petroleum corporation limited aur indian oil corporation limited sandesra group ki company sipko se jo mulk ke muaashi bhagodon ke zaire intezam hain. Hamari tamaam tail companies ne mulk ke liye tail bar aamad kiya.

Mulk ki hukoomati companies ne sandesra bradran ki is company se January 2018 se may 2020 tak 5700 corore rupiye se zayed maliyat ka tail dar aamaad kiya. Unho ne mazeed kaha hai ke ek aur inkeshaf samne aaya hai ke sandesra bradran ne beroon mulk mazeed 6 companies khol li hai jinke zariye Hindustan ko tail farahum kiya jayeiga. Congress ne sawal kiya ke muaashi bhagodon ki in companies ko kisi buniyad par faida pohunchaya ja raha hai.