Dubai: Muttehida Arab imaarat mein khaili jaane wali indian premier league (IPL) ne cricket shaiqeen mein gair mamooli dilchaspi paida ki hai. Board of control for cricket in India (BCCI) ne ek aise mahol aur muqaam par na mukammil tournament khailne ke liye shandar kaam kiya hain. Jo lagta hai ke in wabai dino mein ek mehfooz panah gah ban gaya hain. Is tournament ki hairat angez baat yeh huwi hai ke bohut se naujawan jo bainul aqwaami sateh par abhi tak gair maroof the lekin ab unke bhi fan following aur unhe bhi shohrat hasil huwi hai.
Muttehida Arab imaarat mein rawa IPL 2021 ne kayi naujawan khiladiyon ko star banne ka mauqa farahum kar diya hain. Jin mein rituraj gaikuwad Rahul tirphati diyudatt padakkil harshil patel Owais khan yashsawi jeswal venkatesh Iyer arshadeep singh Chetan sakariya Imran malik qabil e zikr hai jinke muzahireen ko dekh kar dil khush hogaya. Yeh naujawan ba salahiyat cricketer apne batting ya bolling ki salahiyaton ke alawa duniya ke behatreen khiladiyon ke saath shana ba Shana cricket khailne ka housla aur zyada etemaad rakhte hain.
IPL T20 world cup ka sirf ek paish khaima hai jo 17 October 2021 ko cualifying matches ke saath shuroo hoga. Hindustan 24 October ko apne hareef Pakistan ke khilaf muhim ka agaaz kareiga. Pehle hi match se dono fareeqon mein se kisi ke liye shikast ek zehni pareshani hogi jis se in ko tournament mein barqarar rehne mein bohut kuch darkar hoga. Hindustani skuwaad ko pehle hi teen ijazat shuda rezro ke saath tournament ke liye muntaqab kiya ja chuka hain taa hum khidki abhi bhi khuli hai kyun ke skuwaad mein tabdeeli ka aakhri din Sunday 10 October 2021 hai. Yeh in khiladiyon ke saath na insafi ho sakti hai jinka naam team mein rakha gaya hai lekin kisi ko use sahi tanazur mein dekhna hoga.
Yeh samjhna hoga ke IPL ke baad world T20 ke bhare huwe cricket schedule ki wajeh se khiladiyon ke forum ko dubara hasil karne ya zaqmi hone ke baad se fit hone ka koe zyada waqt ya umeed nahi hai. Hindustan ke paas venkatesh Iyer ko team mein shamil hone ka sunehri mauqa hai jis ne na sirf ek batsman ke taur par balke ek mufeed all rounder ke taur par apni maharat dikhai hai. Is tarha rituraj gaikuwad aur deyu datt padekkal ne openers ke taur par apni salahiyaton ko sabit kiya harsil patel ek zehan T20 boller ke taur par aur youzovender chehal ba taur e league spinners ehum umeedwar hai. Jammu aur Kashmir aur sunrise Hyderabad ke naujawan fast boller umer malik ka bolling dekh kar Pakistan ke mashhoor boller wiqar younus ki yaad taza ho gayi. Woh ek aur mumkina Hindustani world cup khiladi banane ke dawedar hain jo 100 meel fee ghanta ki raftar se batman’s ko pareshan kar rahe hai.
Hindustani team mein tabdeeli karne ka faisla karne mein sirf chand din baaqi hai umeed hai ke Hindustani selectors aur thank tank jis mein ab mahender singh dhoni shamil hain is masle par baat cheet kareinge aur Hindustani T20 world cup team mein tabdeeli ke imkanaat ka sanjeedgi se jaiza leinge world cup jeetne ke liye hamesha ek bohut ehum trophy hoti hain. Hindustan ko 2014 ke baad se ICC trophy mein kamiyabi nahi mili. Hindustani team ko khail ke tamaam formets mein duniya ki behatreen team ke taur par dekha jaata hain. Har mulk ke khilaf infiradi series mein unki kargardegi jo unho ne haal hi mein khaili hai shandar rahi taa hum unki almari kuch arse se world cup ki trophy se khaali hai.