Tuesday, April 23, 2024
HomeExclusiveJalpally ki jheel kachray ke ambaar mein tabdeel, awam ki sehat ko...

Jalpally ki jheel kachray ke ambaar mein tabdeel, awam ki sehat ko shadeed Khatra

Hyderabad: Jalpally Municipality ke tehat Jalpally jheel ka pur-sukon mahol aahista aahista ek kachray ke ambaar mein tabdeel horaha hai jis mein mukhtalif ilaqon se kachra bhari hui lorries kasrat se wahan koday-crikit Phenk rahi hai aur yaha tak ke is ruaab se jalaya ja raha hai jis se qareebi ilaqon mein rehne walay logon ko sehat ka khatrah la-haq ho gaya.

Ye kachray ka ambaar Jalpally jheel se lag bhag 500 se 600 meter door waqay hai jo kabhi apne pani ke liye jana jata tha. Raddi aur kachray se bhari hui lorries aur auto trollies har roz hamsaaya ilaqon se seedhay us maqam tak jarahi hai aur na ye sirf uski khoobsurti aur mahol ka ko dump yard mein tabdeel kar rahi hai balkay is maqam ko awam ki sehat ke liye khatray ka pahad bana rahi hain.

Kaha jata hai ke padosi ilaqon se yahan gandagi daaley jane se GHMC ohdedar poori tarhan waaqif hain.

Jalay hue kodey se uthnay walay sholay aur dhuwan aahista aahista is ilaqay ke maholiyati darja hararat par zor pakar rahi hain jis se aas paas ke logon ke liye saans lena mushkil ho raha hai. Nah hi GHMC aur nah hi Muncipality ki taraf se ohdedaron ne yahan ke mamlaat ki khofnaak haalat ka koi note liya.

Gandagi ki yeh haalat ek taweel arsay se ghalib hai. ek muqami rehaishi vinayak ne kaha ke pichle saal jab mamlaat ne sanjeeda rukh ikhtiyar kiya aur ghany Dhowen se hawa mutasir honay lagi to ohdedar sirf kachray ko kisi aur jagah par arzi tor par muntaqil karte hue rahat dene ke liye aaye the.

Jab is se rabita kiya gaya to chairman Jalpally Municipality Abdullah Saadi ne kaha, “hum GHMC ke sath tafweez kardah logon ke ghair munsifanah tarz amal se bakhoobi waaqif hain aur pehlay hi unke khilaaf pahadi shareef police station mein 2 muqadmat darj kar chuke hain. hum un logon ke khilaaf karwai karna shuru kar deinge jo kal se hi site par kachra pheink rahay hain. is douran, hum ne wahan mojood lorries aur trollies ke dumping kodey daan par nigah rakhnay ke liye site ke qareeb CCTV camera laganay ka faisla kiya aur aisi khilaaf warzion ke khilaaf un par chalaan musallat kar denge.