Hyderabad: Telangana hukoomat ne 1st September se tamaam taleemi idarein kholne ka faisla kiya hain. lekin bohot se walidain ab bhi apne bacho ko school bhejne ke liye tayyar nahi hain. Zyada tar walidain khas taur par primary aur secondary school ke tulaba walidain bacho ko school bhejne ke liye tayyar nahi hain.
Woh jhokam lene ke liye tayyar nahi hain kyun ke covid mamle jaari hai aur bacho ke liye vaccine abhi dastiyab nahi hain. Unke bacho ko covid se mutasir hone ka khauf walidain ki aksariyat ko fauri taur par jismani classes ke liye na bhejne par majboor kar sakta hain lekin faisla karne se pehle chand hafton tak intezar karne ko tarjeeh di jarahi hain. Riyasati hukoomat ne 1st September se riyasat bhar mein ke GSPG tak tamaam taleemi idarein dubara kholne ka faisla kiya hain. Yeh faisla chief minister KCR ne vazeer taleem sabita indira reddy aur senior auhdedar ke saath munaqida ijlas mein liya gaya.
Muhkema sehat ke auhdedar ne apni report mein kaha ke riyasat mein covid ki Surat e haal qaboo mein hai. Chief minister ne elaan kiya ke tamaam taleemi idarein ba shamool aangan wadiyan dobara khole jaeinge. Muhkama taleem ke auhdedaro ne ijlas mein kaha ke taleemi idaron ki musalsil bandish ki wajeh se tulaba bil khusoos school ke bache nafsiyati dabao ka shikar hain aur us se unke musataqbil par asar padh sakta hain. Isko zehan mein rakhte huwe aur tamaam pehluon ka mutala karne ke baad aur sab ki rai lene ke baad chief minister ne faisla kiya ke tamaam taleemi idarein ehtiyati tadabeer ke saath dobara khole jaye.
Andhra Pradesh samait kuch riyasatein pehle hi school khol chuki hain. Padosi riyasat ne ek hafte pehle school dubara khole taa hum jis din Telangana hukoomat ne tamaam taleemi idarein dubara kholne ka faisla liya Andhra Pradesh ke zilaa Krishna mein ek sarkari school ke 4 tulaba covid se mutasir paye gaye. 16 August ko riyasat mein school dubara kholne ke baad guntoor aur parkasham izlaa ke sarkari school ke kuch tulaba bhi corona se mutasir huwe.
Online classes ke bare mein wazahat ki kami ne walidain ko bhi muqamse mein dal diya hain. Tamaam taleemi idaron ko dubara kholne ka elaan karte huwe hukoomat ne yeh wazeh nahi kiya ke in tulaba ke liye online classes jaari raheigi jinke walidain unhe shaqsi taur par school bhejne ke liye tayyar nahi hain. Zyada tar walidain ka khayal hain ke hukoomat ko online classes jaari rakhne chahiye. Jab tak ke wabai marz ka khatra mukammil taur par khatam na ho jaye.