Thursday, April 25, 2024
HomeSliderTelangana, Aindah 4 dinon mein garaj aur chamak ke sath barish ka...

Telangana, Aindah 4 dinon mein garaj aur chamak ke sath barish ka imkaan

Junoob maghrib manson ne Telangana ke baaz hisson mein pish raft ki hai. mehakma mosmiyat ne apne bulletin mein kaha ke junoob maghrib Monsoon mukammal wasti o shumali behria arab ke baaz hisson mukammal konkin Bashmole Mumbai, Maharashtra k baaz dur daraz k elakhon  junoobi gujrat ke baaz elakhon, Telangana, Andhra Pardesh, baaz hison, west bengal shumali kheelj k baaz hisson me peshe rafat ki hai.

Amkan k junoobi maghribi mansoon,behriya arab k bakhi hisson,maharshtra,gujratK baaz hison Telangana, Andhra pardesh Oddhisa, chathisgarh, madhiya pradesh, jharkhand ke baqi hisson,mukamil Bengal,bihar aur mashriqi Uttar Pradesh k baaz hissson me ainda do tateen din k dauran pesh rafat kareyga mashriqi wasti aur shumale mashriqiis kailje Bengalse mutasir elakhon me tufani gardab aaath samdar se 5-8aur4-5 kilometer ki ouchiper hai ke zirasr kam dabao ka ilaqa imkaan hai ke shumali khaleej bengal aur is se mut-tasil ilaqon mein 11 June ko banay ga.

ALSO READ:Hyderabad mein sardi ki lehar, aaindah chand dinon tak halki se taiz barish mutawaqqa

Aindah paanch dinon ke douran Telangana mein baaz maqamat per garj o chamak k  sath barish kaamkan hai. riyasat ke kumar bheem Asif abad,manchariyal jay Shankar Bhopal pally mein baaz maqamat par shadeed seshadeed tarem barish, adilabad, kareem nagar, malik,padapally , bhdradari, kutaguda, khammam, mehboobabad, Warangal rural, Warangal uaban aur jangwa mein baaz maqamat par shadeed se shadeed tareen barish ka imkaan hai. guzashta roz telangana ke kayi maqamat par barish hui. Azam tareen darja hararat 40 degree Celsius nalgonda mein guzashta roz darj kiya gaya.

Alawa azeen Warangal urban zila mein shadeed barish hui. zila ke mukhtalif maqamat par garaj chamak ke sath barish hui jis ke nateeja mein kayi nashebi ilaqay ziraab aagaye. gokl nagar, samaaye magar, housing board colony ilaqon ke makanaat mein pani daakhil hogaya jis se awam ko shadeed dshwaryon ka saamna krnaprha. kayi maqamat par barish ki wajah se drainage ubal parre. sarrak par barish ka pani jama honay se kayi maqamat par barray pemana par traffic jaam rahi. Warangal ke qaazi pait aur hanamkonda mein bhi barish ka silsila kayi ghanton taq jari raha. kal nisf shab se hi barish ka silsila shuru hogaya. naalon par gairmujaiz qbzon ke zareya makanaat ki taamer se yeh sorat e haal peda honay ki shikayat ki jarahi hai.