Sunday, October 6, 2024
HomeSliderTaleemi idaron ki kushadgi aur fees, walidain pareshan

Taleemi idaron ki kushadgi aur fees, walidain pareshan

Telangana mein yakam July se taleemi idaron ki kushadgi ke hukoomat ke faislay ke baad talba aur avlyaye talba mein aik qisam ki be cheeni payi jati hai kyunkay kayi aik sawal hai jinke jawabt wazehi andaz me diye jane chaiye. sab se pehlay to walidain mein yeh be cheeni payi jati hai ke aindah chand mah mein corona ki teesri lehar aur is se bachon ke ziyada mutasir honay ke khadshaat zahir kiye jarahay hain aur un halaat mein kya hai schools aur colleges ki kashadgi ka faisala durust hai.

Is ke ilawa walidain ko yeh khadsha hai ke schoolon ki kushadgi ka faisla darasal un taleemi idaron ko fees ki vasuli ka mauqa faraham karna hai kyunkay jab yakam July se taleemi idaron ki kushadgi hogi to sab se pehlay fees ka mutalba kya jaye ga. is zimn mein taleemi idaron ki fees aur online classes ke masla par high court mein darkhwast daakhil ki gayi hai. high court neh hyderabad school prints association ki janib se dair kardah darkhwast ki samaat ki. mehakma taleem ke wakeel neh adalat ko mutala kya hai ke talba se zayed fees wusool karne walay schoolon ke khilaf karwai ki jayegi.

ALSO READ: Corona ya mousmi amraaz? awam ko chokanna rehne ka mahswara

Adalat ko bataya gaya ke jio number 46 ki khilaaf warzi karne walay schoolon ko notice jari karte hue wazahat talabb ki gayi hai. adalat ko bataya gaya ke hukoomat aindah chaar hafton mein hukoomat ke tehat anay walay tamam schoolon ke baray mein faisla kere gi. CBSE,ICSE Schools reyasti hukoomat ke ikhtiyar mein nahi hain. hukoomat mutaliqa bords ko avlyaye talba ke masail se waaqif karwaye gi.

Hukoomat ki is wazahat ko high court nay karwai mein shaamil kya hai. adalat nay kaha ke lock down ke khatam honay ke nateeja mein online classes k ehtemad par samat ki zarurat nahi hai lehaa is mamle ki eksawi krdigyi hai .adalat ko waaqif kurwaye jane ke bawajood awam mein aik qisam ki yeh be cheeni hai ke jahan aik janib school aur college intizamia fees ki maang kar raha hai to doosri janib lockdown se aamdani aur tankhaon per bhari asar padha hai aur waledin k aqsaiyath fees muaqqaf krne mein nahi hai.