Friday, April 19, 2024
HomeHyderabadShehar mein mausam ki aankh macholi, aindah 5 dinon mein mazeed barish...

Shehar mein mausam ki aankh macholi, aindah 5 dinon mein mazeed barish ka imkaan

Dono judwan shehron Hyderabad aur secundarabad mein guzashta roz barish ki aankh macholi dekhnay ko mila aur aindah 5 dinon mein Hindustan ki mukhtalif riyaston mein barish ki paish qiyaasi ki gayi hai. Waisay to shehar Hyderabad aur is ke atraaf o aknaaf ke ilaqon mein guzashta sahrshumbe se hi mutala abar alood rahay raha tha lekin kal dopehar ko Secundarabad ke beshtar ilaqon mein mosladhar barish hui jis mein khaas kar secundarabad ke ilaqay Rauslpura, Patligadda, Nallagatta, Prakash nagar, Begumpet, Bowenpally, Hashmat pait, Musherabad mein taqreeban 40 minute tak taiz barish hui lekin puranay shehar ke beshtar ilaqon mein mausam garam aur khushk raha jabkay Santoshnagar, Borabanda, kukatpally aur atraaf ke ilaqon mein bhi mausam mein koi numaya tabdeeli nahi thi aur umeed ki jarahi hai ke aindah chand dinon ke douran mazeed barish hosakti hai .

ALSO READ:-Charminar ke daman mein bhatta khori? hyderabadi tahazeeb par badnuma daagh

Darin Isna Hindustan ke mehakma mosmiyat ne kaha hai ke mukhtalif gardishon ki wajah se aglay paanch dinon mein mulk ke mutadid hisson mein barish ka imkaan hai. IMD ke mutabiq barish ke Alawa aindah paanch din ke douran jazeera numa junoob mein maghribi hawae chalne ka imkaan hai. IMD ne kaha hai ke Tamil Nadu, Kerala aur sahili aur janoobi karnataka ke junoob aur ghaat ilaqon mein bhi 14 taa 16 April ke douran halki aur taiz barish ka imkaan hai. aik aur gardish junoob maghribi mdhih pradesh aur hamsaaya ilaqon mein waqay hai. is ke assar ke tehat aandhi, bijli aur taiz hawao (30-40 kilometer fi ghanta) ke sath mukhtalif maqamat par barish ka imkaan hai. Madhya Pradesh , Telangana, Chhattisgarh, Karnataka, aur West Bengal mein aglay 4 taa 5 din ke douran aur Jharkhand  mein aglay 24 ghanton ke douran barish ka imkaan hai. . alawa azeen Qawi imkaan hai ke maghribi Himalaya ke ilaqay mein 14 taa 17 April ke douran taiz hawao, garaj aur taiz aandhi ke sath kahin ziyada wasee pemanay par barish honay ka imkaan hai aur kahin halki barish hosakti hai.