Saturday, April 20, 2024
HomeSliderCharminar ke daman mein bhatta khori? hyderabadi tahazeeb par badnuma daagh

Charminar ke daman mein bhatta khori? hyderabadi tahazeeb par badnuma daagh

Hindustan bhar mein coronavirus ki dusri lehar shuru hochuki hai jabkay kayi reyasti hukoomaton ke alawa panchayto ki janib se apne –apne ilaqon mein raat ka curfew aur lockdown bhi nafiz kardiya hai, lekin doosri janib is terhan ki pabandion se aam afraad ki zindagi buri tor par mutasir horahee hai aur dekha ja raha ke kayi ilaqon mein aapsi larai jhagron mein izafah ho raha hai jis ki ek taaza misaal Hyderabad ki tareekhi imarat Charminar ke daman mein bhi dekhnay ko mili jahan do groups ke darmiyan jhagra, talwar se hamla aur chand afraad ki giraftari bhi amal mein aayi lekin is ki bunyadi wajah coronavirus aur is se kaarobar ka mutasir hona bataya ja raha hai .

Tafseelaat ke bamujab Charminar ke daman mein do group mein tassadum ke baad paanch afraad zakhmi hogaye. haatha payi ke douran aik dukandaar Ahmed yasin ko chaako se waar kiya gaya. police ke mutabiq  dukandar ne mamool ada karne se inkaar karne ke baad kuch namaloom afraad ne dukandaar ke sath jhagra kiya. dukandaron ne daawa kiya ke woh adaigi nahi kar saktay hain kyunkay woh coronavirus ki doosri lehar ki wajah se un ke kaarobar buri terhan mutasir hai aur kyuke Charminar mein kaarobar pehlay ki terhan nahi ho raha hai  aur woh khud kayi masail ka shikaar hain aur douran mamool ka ada karna un ke bas ki baat nahi rahi.

ALSO READ:-Coronavirus ke badhte mamlaat ka pehlay RTC par asar

Police ne behas o mubahisay ke chand minute baad muqaam waqea par pahonch gayi aur media se kaha ke  namalum afraad ne dukandaron par hamla kardiya. Sharpasandon ne talwar lakar dukandaar Ahmed yasin par waar kardiya jis se dukaan malkaan aur rahgiron mein tanao peda ho gaya. police ne mazeed kaha ke hamein jharap ke baray mein ittila masool honay ke baad, hum ne mauqa ka dora kiya aur kuch mushtaba afraad ko hirasat mein liya. hum ne bhatta khori ka muqadma darj karkay tafteesh shuru kar di hai. zakhmion ko munasib ilaaj ke liye usmaniya hospital muntaqil kiya gaya .

Is waqea ne kayi ahem sawal kharray kardiye hain. awwal to jahan coronavirus ki wajah se taajiron ki pareshani ka koi pursan haal nahi jabkay muqami leaders aur hukoomat ke paas un masail ka koi hal nahi jabkay Charminar ke daman mein bhatta khori jaisi sangeen bemari phail rahi hai isbemari ko khatam karne ke liye hakkaam aur siyasi leader ab kya karte hain is ka awam ko intzaar hai.