Tuesday, April 23, 2024
HomeSliderCoronavirus ke badhte mamlaat ka pehlay RTC par asar

Coronavirus ke badhte mamlaat ka pehlay RTC par asar

Telangana mein Coronavirus mamlaat se jahan awam pareshan hai wahein waba mein izafah ka RTC khidmaat par manfi assar pada hai aur awam RTC bus mein safar ke bajaye mutabadil gadiyo ko tarjeeh day rahay hain. Guzashta bar se Coronavirus lockdown ke Khatim honay ke RTC ne apni aamdani mein izafah ke liye kaafi kuch kiya hai jis mein kayi akhtraay schemes bhi shaamil thi jis ki wajah se Greater Hyderabad ke alawa azlaa mein bus service mein behtari aayi thi. Musafereen ki tadaad aam halaat ki terhan mamool par bahaal horahee thi lekin achanak Coronavirus ki doosri lehar ne RTC ko dobarah nuqsanaat ki taraf mourr diya hai. it-tila-aat hain ke Coronavirus ke sabab shehar ki buses ki khidmaat ziyada mutasir hui hain. RTC ne musafeeren ko Coronavirus a qawaid ki pabandi ke liye khusoosi muhim ka aaghaz kiya jis ke tehat no mask no journey ( mask nahi to safar nahi ) ka naara diya gaya hai. Mask ke baghair buses mein dakhla ki ijazat nahi rahay gi. Is ke alawa drivers, bus conductors aur deegar amlah ko Coronavirus qawaid par amal aawri ke liye paband kiya gaya hai. 45 saal se zayed Umar ke amlah ko hadaayat di gayi hai ke woh ahteyati tadabeer ke baray mein ziyada chokas rahen.

ALSO READ:-Coronavirus se bachney ke liye ahteyati tadabeer par amal karne governor ki awam se appeal

Wazeh rahay ke guzashta saal 19 May se RTC ki khidmaat bahaal hui theen aur kam muddat mein RTC ko 80 musafereen ki sawari ki bahaali mein kamyabi mili. Dehi ilaqon mein 80 feesad aur shehri ilaqon mein 75 feesad khidmaat bahaal hochuki thi. School, colleges aur tijarti idaron ke aaghaz ke baad se musafereenki tadaad mein izafah hua tha. Corporation ke senior ohdedar ne kaha hai ke guzashta chand dinon mein 5 taa 10 feesad musafereen ki kami record ki gayi hai. RTC buses ko sanitize kiya ja raha hai taakay musafereen ko virus se bachaya jasakay aur buses mein safar ke liye saaz gaar mahol tayyar kiya jaye. School aur colleges ke dobarah band hojane ke baad se RTC ki khidmaat mutasir hui hain.