Thursday, March 28, 2024
HomeHyderabadShaadi ke naam par online dhoka, khatoon se 10.50 lakh loot liye...

Shaadi ke naam par online dhoka, khatoon se 10.50 lakh loot liye gaye.

Shaadi  ke liye rishto ke Website par apna profile post karne wali ek khatoon ko 10.50 lakh rupay ki dhoka dahi hui hai. police ke mutabiq Begumpet, Hyderabad ki rehaishi khatoon nay kuch mah qabal ek Shaadi  ki Website par apni profile post kiya tha, jis ke baad America mein mulazmat karne ka daawa karne walay 1 shakhs nay is se rabita kiya . Ise chand hafton taq baat cheet karne ke baad shakhs neh is se Shaadi  karne mein dilchaspi zahir ki aur is ke liye visa ka bandobast karne ke bahanay is se kaha ke woh usay 50 hazaar rupee jama kare.

Ek account mein is mutasirah khatoon ney 50,000 rupee jama kiye. Police ney kaha hai ke is khatoon ke 50,000 rupay jama karwane ke baad is dhoka baz ney khatoon se kaha ke is ney gujrat mein chand crore ki jaedad khriidi hai. Is ney is se jaedad ki registration ke liye 10 laakh rupay bhejnay ko kaha. Hyderabad cyber crime police ney kaha hai ke is par yaqeen karte hue, is khatoon ney raqam muntaqil kar di, jis ke baad is dhoka baz shakhs ney khatoon se rabita hi khatam kardiya. is ke baad yeh samajte hue ke woh dhoka kha chuki hai, mutasirah khatoon ney cyber crime police se rabtia kiya jisse muqadama darj kiya aur tashteer jari hui.

ALSO READ:-Talaq ke haqooq, Kerala high court ka Muslim khawateen ke haq mein faisla

Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke police ki janib se cyber crime, cyber dhoka dahi aur khawateen ke khilaaf honay walay juraim aur dhoka dahi ke mamlaat ke sad-e-baab ke liye kayi aik shaoor baydaari koshishen ki jati hain aur awam se kaha jata hai ke woh online ajnabi afraad se dosti ya rishta daari karte waqt dhoka bazoo se mehfooz rehne ke liye mohtaat rahen aur khaas kar kisi fard ya company ki janib se rupiyon ko maang hoto samjhna hoga ke aisay ziyada tar mamlaat dhoka dahi ka pehla ishara hotay hain jis se mohtaat rehtay hue cyber police se madad lainay chahiye lakin iske bawajood log laparwahi ka muzaira karrahe hai.