Friday, March 29, 2024
HomeIndiaQuran ayaat ke khilaaf Waseem Rizvi ki darkhwast Supreme Court mein mustard...

Quran ayaat ke khilaaf Waseem Rizvi ki darkhwast Supreme Court mein mustard aur 50 hazaar ka jurmana

Shia board ke sabiq chairman Syed Waseem Rizvi ki quran Majeed ki 26 ayaat ko hazf karne ki darkhwast par samaat karte hue aaj Supreme Court ne nah sirf is ki darkhwast ko mustard kar di balkay is par 50 hazaar ka jurmana bhi Ayad kardiya hai. Darkhwast mein Rizvi ne kaha tha ke un ayaat ki wajah se nafrat aur dehshat gardi ko mobayyana tor par farogh mil raha hai. Justice  R. F. Nariman , head bench ne is arzi ko bilkul be bunyaad qarar diya aur is par 50 hazaar rupiye ka jurmana bhi ayad kardiya hai.

Senior advocate Ravinder kumar Raees zaad Rizvi ke liye paish hue thay. Rizvi ne apni darkhwast mein ilzaam lagaya ke Quran ki kuch ayaat mulk ki khudmukhtaari, ittehaad aur salmiyat ke liye khatrah hain. Unhon ne adalat se un ayaat ko ghair aaeni, ghair muaser aur ghair amli qarar dainay ke liye ki darkhwast ki thi. Is se qabal qaumi aqliati commission (NCM) ne Rizvi ko aik notice jari kiya tha jis mein kaha gaya tha ke woh Quran ke ayaat se mutaliq apne tasurat ko wapas le.

ALSO READ:-Assam mein madresson ko band karne ke Islamphobia faislay ko hukoomat wapas le

Quran Majeed ki baaz ayaat ko hazf karne ke baray mein Rizvi ki taraf se media mein diye gaye tabsaray se aik khaas baradri ke mazhabi jazbaat ko mushtael karne aur is ki tauheen karne ke iraday se, intehai ishtial angaiz, qabil aitraaz aur mazmoom, aman aur hum ahangi ki bahaali ka taasub hai khaas tor par mazhab Islam ke khilaaf hai. un khayalat ka izhaar NCM ke zareya jari kardah aik notice mein kaha gaya hai. Maloon Rizvi ki is harkat par aalam Islam mein pehlay hi gussa payajata tha aur jab is ne Supreme Court se un ayaat ko hazf karne ki darkhwast ko to Hindustan ke musalmano mein gussa apne urooj par pahonch chuka tha.

Supreme Court ka faisla aur social media par radd amal

Waseem Rizvi ki Supreme Court mein honay wali sharamnaak shikast ke baad jaisay hi yeh khabar aam hui ke maloon ki nah sirf darkhwast mustard kar di gayi balkay is par 50 hazaar ka jurmana bhi Ayad kya gaya hai to social media par is faislay ke mutaliq radd amal ka aik tufaan umadd para. Kayi afraad ne is faislay ko Hindustan mein qanoon ki baladasti aur jamhoriat ki kamyabi ke tanazur mein aik behtar faisla qaraar diya hai. kayi sarfeen ne is nah sirf musalmano ke liye itminan dilanay wala faislay qarar diya balkay usay hindustani mahol aur qaumi yakjahti ke tanazur mein qanoon aur jamhoriat ki jeet qaraar diya hai.