Monday, April 29, 2024
HomeIndiaAssam mein madresson ko band karne ke Islamphobia faislay ko hukoomat wapas...

Assam mein madresson ko band karne ke Islamphobia faislay ko hukoomat wapas le

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) qaumi sadar MK Faizi ne Assam hukoomat ki janib se Madresson ko band karne ke faislay ko Islamphobia qarar dete hue is ki shadeed mukhalifat ki hai aur Assam hukoomat se mutalba kiya hai ke woh is faislay ko wapas le. MK Faizi ne apne akhbaari aalamia mein mazeed kaha hai ke shumali Hindustan mein hukoomat ki madad se chalne walay Madresson ka maqsad taleemi tor par pasmandah Muslim Community ko qaumi dharay mein lana hai.

Mulk ke deegar hisson mein jo madrasay chal rahay hain wahan sirf Islami talemaat di jati hain is ke bar aks shumali Hindustan mein hukoomat ki madad se chalne walay madrasay jadeed taleem aur Islami mazhabi taleem ka ek murakkab hai. Un Madresson se sirf Masjid ke Imam nahi balkay Dr, Engineer aur wakeel ban kar nikaltay hain. Un Madresson aur dosray schools mein farq yeh hai ke yahan woh jadeed taleem ke ilawa talba ko Islami uloom muhayya kiya jata hai jis mein Riaz, Science, Insaaniyat waghera shaamil hai. Yeh nizaam un Muslim talba ko jadeed taleem ki farahmi ke liye banaya gaya tha jo walidain maali halaat ki wajah se apne bachon ko jadeed schools mein bhejnay se qassar hain aur woh apne bachon ko sirf deeni uloom marakaz ( Madrassa ) bhaijtay hain. Is terhan ke sarkari imdadi school doosri shumali reyaston jaisay Bengal aur Bihar mein bhi chalaye jarahay hain.

Assam mein sarkari imdadi Madresson ki tadaad 614 hai aur yahan par sarkari imdaad ke baghair niji atyat par lag bhag 2000 madrasay chal rahay hain. Assam hukoomat ne is faislay ko Secular rang dainay ko koshish karte hue mutawazan Act ke tor par sansikrat ke 97 schools ko bhi band rakhnay ka faisla kiya hai. Sansikrat ki taleem haasil karne walay talba ki kami ki wajah se yeh sansikrat ke school pehlay hi band karne ke dhanay par hain. Wazeer taleem ne ek sanjeeda qiyaas aarai ki hai ke’ agar talba ko deeni nisaab faraham karna hon to Geeta ya Bible padhanay ke liye logon ke mukhtalif garohoon se mutalibaat janam le satke hain’. Madrassa ka nizaam kaafi arsay se qaim hai aur wazeer taleem ke kehnay ke mutabiq abhi tak kisi bhi group ki taraf se is terhan ke mutalibaat nahi hue hain.

Social Democratic Party of India ka maanna hai ke Assam hukoomat ki is koshish ko Hindustan mein khusoosan Assam mein Muslim Community par zulm dhanay ke shaytani fashist agenday ka ek hissa hai jo pehlay hi apni shehriat khojane ke khatray mein hain. SDPI Assam hukoomat se mutalba karti hai ke woh apne Islamophobia faislay ko wapas le aur riyasat mein baradrion ke mabain hum ahangi, Be khofi aur aman ki fiza ko yaqini banaye.