Friday, April 19, 2024
HomeSliderPassenger train ko marhalawaar jaldi bahaal karne ka mansoobah

Passenger train ko marhalawaar jaldi bahaal karne ka mansoobah

Express train aur multi model tansport system (MMTS) ki bahaali ke baad mehakma railway ney musafir trainon ki bahaali par nigah markooz karli hai jo jald hi logon ko nisbta sastay karaye par jagah jagah le jati hain. yeh train in logon ke liye shandaar tohfa hon gi jo subah ke waqt hyderabad poanch jatay hain aur shaam ya raat ke waqt ghar waps jatay hain.

Telangana mein lock down se pehlay kam اaza kam 100 musafir train chal rahi the. Telangan ke dehi ilaqon mein basnay walay shehri lakhoon logon ko faida pohanchanay wali un khidmaat ko bahaal karne ke liye railway ka be taabi se intzaar kar rahay hain. pesh pul trainon, diesel electric multipule unit (DEMU), main electric multipule unit (MIMU), musafir train khidmaat medchal ,munharabad,onda, nagar, warangal, qaazi pait, hanamkunda, tanadddur, Wiqar abad, mehboob nagar, kurnool, nizaambad jaisay maqamat se chalti hain. yeh khidmaat un logon ko muntaqil karne k liye chal rahi hai .jo naukri k maqsat aur apne tijarat k liye shehr me ponchjate hai ,kam aza kam ye rozana do lakh e ziyaada afraad ki zaroorat ko pura krti hai.

ALSO READ: Metro Rail musafir raast Train se manzil tak pounchanay ke khwahan

Awam is waqt MMTS ki khidmaat se istifada kar rahay hain, mehakma railway marhala waar musafir trainon ko dobarah shuru karne ka mansoobah bana raha hai. MMTS khidmaat teen din qabal bahaal hui hain aur teen din mein 30 feesad ko uboor kar gayi. fil haal 10 MMTS kaam mein hai. aam dinon ke douran 1.5 laakh se ziyada musafir 121 MMTS khidmaat istemaal kar rahay hain. pichlle saal lock down ke baad ghair mehfooz ticketon ka ijra moattal kardiya gaya hai.