Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadMetro Rail musafir raast Train se manzil tak pounchanay ke khwahan

Metro Rail musafir raast Train se manzil tak pounchanay ke khwahan

Hyderabad: lockdown ke baad 7 September ko Metro Rail shuru karne ke pehlay haftay mein sirf 31 hazaar musafiron ne hi Metro train se safar kiya tha. Lekin aahista aahista awam ki tadaad mein izafah ho raha hai. Ab musafiron ki amad-o-raft rozana 50 hazaar hogayi hai taham is ke bawajood loog apni manzil tak pounchanay ke liye Metro Rails ko tabdeel karne ke khawahish mand nahi hain balkay woh ek Train se apni manzil tak pounchanay ke khwahan hain.

Miyapur se LB Nagar rote par safar karne walay musafiron ki badhti tadaad mein Nagol Raidurgam aur JBS-MGBS roots par safar karne walon ke muqablay mein barah-e-raast apni manzil maqsood par safar karna chahtay hain. Agar Dilsukhnagar ka rehaishi Begumpet ka safar karna chahta hai to is musafir ko Ameerpet par train tabdeel karni hoti isi tarah jo shakhs Narayanguda mein Metro Rail mein sawaar huwa woh panjagutta jana chahta hai to is musafir ko MGBS Metro Rail station par train ko tabdeel karna hoga.

Aam dinon ke douran loog apni manzil tak pounchanay ke liye trains ko tabdeel karte thay lekin ab woh coronavirus ke khauf se trains ko tabdeel karne ke liye tayyar nahi hain is shubhay mein ke woh aur bhi bohat se afraad se rabita kar saktay hain jo ke inhen virus se mutasir karsaktha hai. Telangana State Road Transport corporation ki Buses abhi mukammal tor par dastyab nahi hain lehaza bohat se afraad zaati gadiyon ko hi tarjeeh day rahay hain. Is ke nateejay mein shehar ke ahem maqamat par traffic jaam dekhnay ko mil raha hai. Woh rehaishi jo Metro Rail ke zariye safar karna pasand nahi karte hain woh zaati transport ke zariye safar kar rahay hain. Yahan tak ke woh loog jo metro ke zariye safar karna chahtay hain woh metro smart card ya QR code ticket ki sahoolat bhi istemaal kar rahay hain.

Chennai mein Metro Rail ne Metro Smart Card Charges ya QR Code Ticket sahoolat par 20 feesad riayat di ju Hyderabad Metro Rail ki janib se nahi hai. Hyderabad aur Bengaloru mein corona se phele rozana sadhay chaar lakh musafir Metro Rail ke zariye rozana safar karte thay lekin mojooda halaat mein un ki tadaad rozana 50 hazaar se tajawaz nahi kar saki.