Saturday, April 27, 2024
HomeIndiaModi ne hamein beizzat karne ki koshish ki : mamata banerjee

Modi ne hamein beizzat karne ki koshish ki : mamata banerjee

Bangal assembly intikhabaat ki muhim ke douran aik dusray ke tain sakht ilzamaat Ayad kiye jane ke baad pehli martaba wazeer e azam Narendra Modi aur mamata banerjee ka wazraye aala ke ijlaas mein samna hua lekin is ijlaas mein bolnay ka mauqa nahi milnay par mamata banerjee ne sakht barhami ka izhaar kiya hai. mamata banerjee ne ilzaam aed kiya ke Wazeer e Azam ke zareya talabb kiya gaya virtual ijlaas mein inhen bolnay ki ijazat nahi di gayi. unhon ne kaha ke woh tamam tayario aur kagazat ke sath ijlaas mein shirkat ki thi lekin inhen bolnay ka mauqa nahi diya gaya hai.

Mamata banerjee ne kaha ke ijlaas mein sab se pehlay Wazeer e Azam ney thori der bola aur is ke baad BJP ke zair Iqtidaar Riyasato ke kuch DM ney apni baat rakhi aur jalsa khatam hogaya. Mamata banerjee ney poocha ke akhir wazire azam Modi wazraye aala se khaufzadah kyun hain? unhon ney ilzaam lagaya ke bohat se wazraye aala Wazeer e Azam ke tarz amal se tauheen mehsoos kar rahay hain . Mamata banerjeene kaha ke Wazeer e Azam ne aik baar bhi vaccine ki dasteyabi, dawakhano mein bistar ki dasteyabi ya black fungus se mutaliq koi baat nahi ki. Unhon ne kaha ke das saal tak riyasat ki qayadat karne ke baad aisa sulooq kiya gaya aur yeh hamaray liye baais sharam hai. khayaal rahay ke 20 May 2011 ko hi pehli martaba mamata banerjee ne baen mahaaz ke 34 sala daur Iqtidaar ka khtama karte hue cheif minister bani thi.

ALSO READ:-Bengal mein 2 May ke baad Trinamool Congress ka wujood khatam hojaye ga: Narendra Modi

mamata banerjee nay kaha ke hum nay socha tha ke hum vaccine se mutaliq baat karen ge aur ziyada se ziyada vaccine ki farahmi ka mutalba karen ge. Wazeer e Azam nay apni taqreer mein kaha ke Coronavirus kum hua hai agar is mein kami waqay hui hai to phir itni hlaktin kyun ho rahi hain? ” Mamata banerjee nay kaha ke markazi hukoomat ghaflat bart rahi hai.

Mamata banerjeene kaha ke agar woh cheif minister ki baat nahi sunna chahtay hain to phir ijlaas mein cheif minister ko kyun bulaya gaya hai? kuch DM ko bolnay ka mauqa day kar wazraye wazeer e aala ki tauheen ki hai. mamata banerjeene kaha ke hum 100 million vaccine chahtay hain. Hamein is mahinay mein 24 lakh vaccine milnay thay lekin sirf 13 lakh khoraak miley hain.