Thursday, April 18, 2024
HomeIndiaBengal mein 2 May ke baad Trinamool Congress ka wujood khatam hojaye...

Bengal mein 2 May ke baad Trinamool Congress ka wujood khatam hojaye ga: Narendra Modi

Hindustan ke Wazeer e Azam Narendra Modi ne coach bahhar mein intikhabi rally se khitaab karte hue kaha ke Bengal mein kahin par bhi Trinamool Congress nazar nahi arahe hai, mein ne helicopter se dekha hai ke barri tadaad mein log arahe hain aur umeed hai ke 2 May ke baad Bengal mein Trinamool Congress ka wujood khatam hojaye ga. Unhon ne kaha ke pehlay do marhalay ki raye dahi mein yeh wazeh hogaya hai ke daydi rukhsat horahee hai. Bengal mina aisi lehar kabhi bhi pehlay nahi dekhi gayi hai.

Wazeer e Azam Narendra Modi ne kaha ke BJP hi Syama Prasad Mukherjee ke khowaboon ke Bengal ki tabeer kere gi. unhon ne kaha ke Mukherjee ke nazriaat aur fikar ne hamein awam ke liye jaddo jehed karne aur un ki zindagi behtar bananay ke liye hosla diya hai.

Wazeer e Azam Narendra Modi ne kaha ke didi aaj kal pouch rahi hain ke kya BJP khuda hai jo janti hai ke woh jeet rahi hai lekin mein yeh kehna chahta hon ke janata khuda ki shakal hai aur is ke chehray ko dekh kar aap ko maloom hoga ke hawa ka rukh kya hai. Aap ki zabaan, aap ka gussa, aap ki aawaz, yahan tak ke ek bacha bhi bta sakta hai ke daydi ka pata saaf ho raha hai. Aap ko intikhabaat mein shikast ho rahi hain. daydi, aap maidan chodh chuki hain. Narendra Modi ne kaha ke didi ko aap ko baar baar kehna padhta hai ke aap Nandigram  se intikhab jeet rahi hain. Nandigram  mein raye dahi ke din aap ne kya khail sara mulq jaanta hai ke aap haar rahi hain. Is ke liye khuda se mangnay ki zaroorat nahi hai. Jab aap ki party ne elaan kiya ke daydi ab banaras se lok sabha intikhabaat ladhengi, to koi bhi samajh daar shakhs aasani se samajh sakta hai ke Trinamool Congress ki haalat kharab hai. Didi ko siyasat karne ke liye Bengal se bahar jana padega.

ALSO READ:-Narendra Modi ke liye mehanga jahaaz aur fojion ke liye?

Mamata ko nishana banatay hue Wazeer e Azam Narendra Modi ne kaha ke didi aap ko kuch din kehna pade ga ke aqliton ke votes ko taqseem nahi karna chahiye. Yeh is baat ka ishara hai ke aap ko yeh ehsas hogaya hai ke muslim vote bank aap ke haath se chala gaya hai. Musalman aap se muh modh chuke hain. Wazeer e Azam ne kaha ke Mamata Banerjee election commission ko gaaliyan diye rahi hain. Mamata banerjee ne jo kuch keh rahi hain. Agar mein yeh baat kehta ke hindu muttahid hokar BJP ko vote den to election commission ka notice mujhe mil jata. Maazi mein mujhe election commission notice day chuka hai. Akhbarat ki surkhiyan bhari hui hain. Akhbaron ne khusoosi adarie likh kar meri tanqeed kar chukay hain.