Maweshion aur koyela smuggling mein CBI ko matloob Trinamool Congress ke sabiq youth leader Binay Mishra se mutaliq jaanch agency zaraye ne daawa kiya hai ke woh Dubai mein roposh nahi hai balkay pacific ocean ke aik jazeeray par roposh hai. CBI zaraye ke mutabiq, maweshion ki smuggling muamlay mein matloob Binay Mishra ne guzashta saal 22 Decemeber ko Dubai mein Hindustani sifartkhane mein apna Hindustani passport jama karwaya tha. Binay ne Hindustani sifartkhane ko bataya ke woh Pacific Ocean mein waqay jazeeray walay Mulk Vanuatu ke shehri honay ki wajah se apna Hindustani passport jama kara rahe hai, CBI ne is mamle ki tahqeeq shuru kardi aur vizarat karij ke raste mein hai.
Assembly intikhabaat se qabal maweshi smuggling اaur koyele smuggling ka maamla samnay aaya tha. is muamlay mein jaanch agency kayi afraad ko girftar kerchuki hai. CBI ko Binay mishra matloob hai. kayi martaba notice diye janey ke bawajood woh ab taq paish nahi hue hain. jab ke CBI un ke bhai Bikash Mishra ko giraftaar karchuki hai.
ALSO READ:-BJP apne mukhalfin ke khilaaf ED aur CBI ka istemaal kar rahi hai
CBI neh koyla aur maweshion ki smuggling muqadma ke mulzim Binay Mishra ki araazi munsalik karne ke liye darkhwast dair ki thi. yeh darkhwast Asansol ki CBI ki khusoosi adalat mein dair ki gayi hai. Enforcement Directorate neh pehlay hi Binay Mishra aur un ke bhai Bikash Mishra se mutadid jayidadin zabt karli hain. is mein raas bahari mein waqay aik makaan bhi shaamil hai. CBI is muamlay mein red corner notice jari kya hai. is se pehlay CBI neh daawa kya tha ke Binay Mishra Dubai mein roposh hain lekin ab CBI ko pata chala hai ke Binay Mishra Dubai main nahi bahrekal jazeere wale mulk main roposh hai.
Wazeh rahay ke Central Bureau of Investigation (CBI) kuch din qabal email ke zareya Binay Mishra se poocha tha keh woh is waqt kaha hai. Binay Mishra ney CBI ohdedaron ko email l ke zareya aagah kiya tha keh woh video conference ke zariye tafteesh ke liye paish honay ko tayyar hai. CBI ney is tazweez ko mustarad kardiya tha . phir is ke baad hi CBI ney un se poocha tha ke woh is waqt kaha hai.