Saturday, April 20, 2024
HomeIndiaBJP apne mukhalfin ke khilaaf ED aur CBI ka istemaal kar rahi...

BJP apne mukhalfin ke khilaaf ED aur CBI ka istemaal kar rahi hai

Nagpur: Maharashtra ke wazeer-e-dakhla Anil deshmukh ne kaha ke jo bhi BJP ki policion ya rehnumao ke khilaaf baat karta hai to usay markazi agencio ke zareya honay wali sakht karwai ka saamna karna padta jaisa ke ab ED ne padli ki sunni ahliya ko bank money laundering muqadma mein 29 decemeber ko talabb kiya tha.

yahan media numaindon se baat karte hue NCP ke senior rehnuma ne yeh bhi kaha ke enforcement directoriet (ED) ka istemaal siyasi maqasid ke liye Maharashtra mein kabhi nahi hua tha lekin lagta hai ab jo bhi BJP ki polico ya ke khilaaf boltaa hai usay ED ya CBI ka saamna karna padta hai.

Jahan tak central bureau of India ki tehqiqaat ka taaluq hai hum ne faisla kiya tha ke Maharashtra mein is agency ki kisi bhi tehqiqaat ka reyasti hukoomat ki ijazat ke baghair koi taqub nahi kiya jasakta taham ED enquiry ka hukum  dene ka huquq un markazi hukumat  ke paas hai lekin un huquq ko siyasi maqsad ke liye istemal karna Maharashtra may kabhi nahi dekha gaya.

Is saal october mein Uddhav Thackery ki sarbarahi wali Maharashtra hukoomat ne riyasat mein mamlaat ki tehqiqaat ke liye CBI ko di jane wali aam razamandi ko kaladam qarar day diya tha. NCP aur congress Shiv sena ki zair-e-qayadat maha vikas aghadi (MVA) sanj hukumat ka hissa hain. Darin asna NCP ke ek aur senior rehnuma praful patel ne kaha ke ab kayi afraad ko ED se notice mil rahay hain. is wajah (is tarhan ke notice milnay ke peechay) hosakta hai siyasi ya kuch aur Mansha hai, jo bhi ho haqayiq samnay ayenge. mein is amal se koi aur maienay nikalna nahi chahta hon. jab yeh poocha ke kiya siyasi intiqam ke liye markazi agencio ka ghalat istemaal kiya ja raha hai to unhon ne kaha ke halaat sab par ayaan hain.