Tuesday, April 16, 2024
HomeIndiaMehanga cricket stadium nahi sasta dawakhana awam ki zaroorat

Mehanga cricket stadium nahi sasta dawakhana awam ki zaroorat

Cricket stadium Australia ke Melbourn cricket stadium ke baad ab duniya ka teesra sab se bada cricket stadium Jaipur mein taamer ho raha hai halaank is waqt jahan sara hindostan corona ke bohraan se pareshan hai aur aam aadmi ko dawakhana aur tib ke shobay mein mo-asar, aasaan aur behtar sahuliyaat faraham karne mein markazi aur reyasti hakoomaten kaafi had tak nakaam hain to doosri janib hakoomaten parliament house aur cricket mahdanon crore rupiye kharch kar rahi hain jis ko awam ki janib se social media par tanqeed ka nishana banaya ja raha hai .

Taaza tareen khabar ke bamojab ab jaipur mein duniya ka teesra sab se bara cricket maidan ban’nay wala hai jis ke liye araazi hawalay kar di gayi hai. tafseelaat ke bamojab rajsthan ke dar-al-hakoomat jaipur mein ban’nay walay duniya ke teesray sab se barray cricket stadium ke liye jaipur development authority (JDA)jumma ko rajisthan criket accadmey RCA ke SADAR BAGHOLAT JDA commissionaire goro Goel ne aaj yahan JDA mein Dehli road par jaunp gaon mein taamer honay walay stadium ke liye mukhtas zameen ka patta sonpa. is mauqa par ghilot nne media se kaha ke taqreeban 100 acre mein tamir hone walay stadium ka dhai se pauney teen saal mein kaam mukammal karliya jaye ga.

ALSO READ: Olympics mein parcham bardaar hona sab se bara aizaz : Sindhu

Aindah dhai mahinay mein is ka bhoomi poojan kya jaye ga. stadium ke liye 100 crore rupay ka karzzzz bhi lyajaye ga. unhon ne kaha hai ke hindustani cricket control board BCCI ki janib se bhi 100 crore rupay ki grant mil chali hai. nawway crore rupay RCA aur deegar taawun se jama kiye jayen ge. unhon ne kaha hai ke 75 hazaar shaiqeen ki salahiyat ke is stadium ka kaam drha marhale mein kya jaye ga jis mein phela marhala 45 hzarshayqin ki salahiyat ka hoga dosray marhalay mein 30 hazaar shaiqeen ki mazeed salahiyat barhai jaye gi. unhon ne kaha ke pehlay marhalay mein 400-350 crore rupay kharch kiye jayen ge. stadium mein multi purpose training academy bhi banay gi. modern club house banaya jaye ga. Do bade public plaza, do izafi practice ground these practice net ki sahoolat bhi hogi. is ke ilawa 250 nashiston wala press conference hall bhi taamer kya jaye ga.

RCA ke cheif sarparast aur assembly ke speaker dr C P joshi ne yeh khawab dekha tha ke JDA hukoomat ne usay pora krne mein madath ki hai. stadium ke liye aisi jagah ki talaash thi jahan se riyasat ke barray shehar aasani se jurey hon. bahar se anay walay shaiqeen ko bhi shehar ki bheer bhad me daakhil honay ki zaroorat nahi hogi. stadium se wabasta tamam sargarmia yahan tyarki jayen gi. ab sawal yeh peda hota hai kya is waqt hindustani awam ko is maidan ki zaroorat hai ya phir dawakhane ke network mein izafah aur is ki sahuliyaat mein behtari ke ilawa petrol aur diesel ke sath pakwaan gas ka kam qeemat mein milna ziyada ahem hai.