Thursday, April 25, 2024
HomeSliderOlympics mein parcham bardaar hona sab se bara aizaz : Sindhu

Olympics mein parcham bardaar hona sab se bara aizaz : Sindhu

Olympics mein hissa lena har khilari ka khawab hota hai. aik medal jeetna aakhri hadd taq pounchanay ke mutradif hai, lehaza jab aap ko olympics ke iftitahi din ki taqreeb mein –apne mulk ka parcham thaamnay ka aizaz milta hai to yeh aik ghair mamooli kamyabi hai. un khayalat ka izhaar badminton khilari P.V.Sindhu ne Tokyo olympics ke zimn mein kya. hyderabad se talluq rakhnay wali khilari sindhu ke liye yeh aik woh lamha bohat bara aizaz hoga jab woh 23 July ko Tokyo mein hindustani dastay ki qayadat kar rahi hon gi aur woh hindostan ki parcham bardaar hongi jiske wo pur josh hai

Rivo olympics silver medal jeetnay wali ney mazeed kaha kaha hai parcham uthany wala khilari ban-na aik fakhr lamha hai. yeh sochna ke aap tirangaa uthaye hue hon ge aur iftitahi taqreeb mein hindustani dastay ki qayadat karen ge. mein bohat pur josh hon kyunkay is terhan ka mauqa bohat kam hota hay aur yeh aik bohat bara aizaz hai. mein muntazir hon is lamhay ki.

ALSO READ: Eid ul azha, bakron ki maloomat youtube par

Sindhu ne aitraaf kiya ke yeh ( Tokyo ) olympics 2016 ke khelon ke muqaabla mein mukhtalif hai. yeh olympics 2016 ke muqablay mein yaqeenan mukhtalif hoga. yeh woh maqam hai jahan dabao ziyada hota hai aur zimma dariyan bohat ziyada hoti hain kyunkay rio ki bah nisbat Tokyo olympics mukhtalif hoga jis ki asal wajah corona aur uskay sad-e-baab ke liye ki jani wali pabandiyan hain.

Shaiqeen ki janib se sindhu se wabsta umedon ke mutaliq unhon ney kaha hai ke ab har aik ki khwahish hai ke sindo jahan bhi khelti hai medal haasil kere to is umedon se dabao barh jata hai aur hamein is se nimatna honga .har cheez k liye tayar hona hai jab app kisi match main jaatey hain tho app par sukoon rehna padta hai takey apni behtreen karkardagi ka muzaira kr sakye.

Projects session bhi mukhtalif hain kyunkay woh sports authority telangana state (SATS) indoor stadium ki bajaye pila gopi chand academy mein tarbiyat le rahi hain. unhon ney mazeed kaha ke olympics ki tayyariyan vaqata achi terhan se jari hain. mein feb ke baad se, gachibowli stadium jo bain al aqwami miyaar ka maidan hai yahan practice kar rahi hon. yeh Tokyo mein aik jaissa hi hai jahan badminton muqablon ka ineqad kya ja raha hai.

Aalmi champion ney mazeed kaha ke mulk ki taraf se khailtay hue khaas tor par olympics mein bohat se jazbaat hon ge. jazbati tor par munsalik hai kyunkay poora mulk is ki himayat kar raha hai aur mujhe yeh medal ke sath dekhnay ki khwahish kar raha hai. mein vaqata is ki muntazir hon. unhon ney kaha ke woh 17 July ko Tokyo rawana hon gi. hum covid 19 ke protocol ke mutabiq muqaabla se paanch din pehlay sports velch mein hona parre ga. unhon ney kaha ke gold medal haasil karna hai aur haan yeh meri tarjeeh hai.