Friday, April 26, 2024
HomeSliderLockdown ka urdu mein hukum nama, BJP ke haami chairag pa, qaumi...

Lockdown ka urdu mein hukum nama, BJP ke haami chairag pa, qaumi zabaan ko Pakistan aur taliban se jodhne ki koshish

Telangana mein hukoomat ki janib se 10 dinon ke mukammal lockdown ke baad awam mein aik afra tafri ka mahol tha jahan kuch log yomiya zindagi ke ashyae zarooria khridne mein masroof they to sharaab ki dukanaat ke samnay hazaron ka majmoa madar tha lekin aik aisa tabqa bhi tha jo ke lockdown ke urdu mein jari kardah sarkari hukum nama ko musalmano, Pakistan , Taliban, KCR ko nizaam sarkar zahir karne mein koi kasar nahi chore raha tha.

BJP ke mutadid hamion ne urdu samait chaar zabanon mein riyasat Telangana ke Chief minister office kijanb se bazabta tor par shaya honay walay lockdown ke hukum nama ko Telangana hukoomat ko Pakistan aur Afghanistan mein show chalanay walon se TRS mukhalif junoon ki tashheer karne ki koshish ki. Telangana mein lockdown ka hukum nama angrezi, telugu aur hindi ke sath urdu mein bhi jari kiya gaya jabkay kuch logon ne ird o mein jari kardah is hukum naame ko Pakistan ke naam se jornay ki koshish ki jab ke urdu mein sarkari dastawizaat ki ashaat ke liye riyasate Hukumat par nekta chini karte hue BJP ke kuch mubaina Telangana ke CM KCR ko nizaam ke naam se qitaab kiya.

ALSO READ:-Telangana mein lockdown hukoomat par dabao ka nateeja to nahi?

Ek Sarif Satani Thakur ne kaha yeh Telangana hukoomat ki Telangana razakaar samiti ki tweet hai. Kya yeh hindostan hai ya Pakistan ? ek Nitizen ne yahan tak kaha yeh Telangana hai, Pakistan ya Afghanistan nahi, jab ke dusray ne kaha yeh tweet Telangana ke awam ke liye hai ya Talibaniyo ke liye hai? urdu mein shaya honay walay mehez aik note par junooni radd amal ne reyasti hukoomat ke ohdedaron ko dang kar diya hai. Ohdedaron ne kaha hai ke urdu mein media release pehli martaba nahi hai balkay maazi mein bhi yeh jari ki jati rahi hain. Telangana hukumat ke digital wing ne kaha ke media relese char zabano me kigayi hai kyuke ye ek ahem paigaam tha jisko hare ek ko samjhana zaroori tha aur kaha ke urud ek sarkari zabaan hai hume har chiz ko kisi dusre mulk ke saath jordhna nahi cahiye.