Thursday, April 25, 2024
HomeLatest NewsTelangana mein lockdown hukoomat par dabao ka nateeja to nahi?

Telangana mein lockdown hukoomat par dabao ka nateeja to nahi?

Telangana ki awam is liye sukoon ki saans le rahay thay kyunkay Chief Minister KCR, cheif secretary Somesh kumar aur wazeer e dakhla Mahmood Ali ki janib se mutadid martaba riyasat mein lockdown ke nifaz ki tardeed horahee thi lekin guzashta roz achanak 10 dinon ke lockdown ke elaan ke baad awam mein shuba paaya ja raha hai ke riyasat mein chand hazaar corona ke mamlaat par lockdown ka nifaz KCR aur TRS hukoomat par dabao ka nateeja to nahi hai?

Mutadid zaraye ke tajziyon se mutadid nataij akhaz kiye jarahay hain kyunkay kisi ka maanna hai ke riyasat ki high court ka hukoomat se musalsal lockdown ke nifaz, raat ke curfew aur hafta ke aakhri ayyaam ka lockdown ( Weekend Curfew) ko nafiz karne ke zimn mein musalsal ektarfas karne par bhi lockdown ki aik wajah hosakti hai jabkay chand angrezi akhbarat ke tajziyon ke yeh nataija samnay atay hain ke riyasat mein jo haliya bukhaar servey kiya gaya tha jis mein lakhoon afraad mein bukhaar ke alawa coronavirus ki alamtain note ki gayi thi is ke paish e nazar lockdown ka nifaz amal mein aaya hai? halaank hukoomat ki janib se bukhaar survey ke adaad vshmar jari nahi kiye gaye hain aur yeh nahi bataya gaya hai ke Telangana mein kitney log bukhaar mein mubtala hain?

ALSO READ:-Telangana hukoomat ko mazeed sakht iqdamaat karne ka hukum

lockdown ke muamlay mein –apne pehlay ke faislay se inhiraf mein yeh haqeeqat bhi dekhi jarahi hai ke hindostan ki deegar 20 reyaston mein lockdown ki wajah se bhi KCR par Telangana mein lockdown ka dabao bana hai. is ke alawa jin nakaat ko lockdown se jora ja raha hai is mein sarkari aur khangi dawakhano ke doctors aur tibbi amlah par musalsal parney walay boojh ko kam karne ka aik mauqa faraham karna bhi hai. mana ja raha hai ke doctors ki janib se bhi hukoomat par dabao ban raha tha.

Musadeqa zaraye ke bamojab das dinon mein lockdown se awam ke hamal aur naqal ko roknay mein madad miley gi jis se agar coronavirus mamlaat mein kami hoti hai to doctors par ban’nay walay boojh ko kam kiya jasakay ga aur agar is ke bawajood mamlaat mein kami nahi hoti hai to phir hukoomat ko –apne muaqqaf ko durust saabit karne ka mauqa miley ga ke deegar reyaston mein lockdown ke nifaz ke bawajood coronavirus mamlaat mein kami nahi aayi hai. Awam ke gham o gussa aur narazgi se mehfooz rehne ke liye hukoomat nay rozaanh subah 6 baje taa 10 baje tamam masrofiyat ko jari rakhnay ki ijazat dete hue riyasat ki maeeshat ko shadeed nuqsaan se bachanay ka bhi aik darmiyani rasta talaash karne ki koshish ki hai taakay awam ki janib se bhi hukoomat par tanqeed nah ki jaye.