Friday, April 26, 2024
HomeSliderJalti Cigarette la parwahi se phainkeny se riyasat mein sab se ziyada...

Jalti Cigarette la parwahi se phainkeny se riyasat mein sab se ziyada aag ke hadsaat

La parwahi se pheki gayi jalti Cigarette ke chhootey tukre riyasat Telangana mein aag ke hadsaat ka sab se bara sabab banay hain. Mehakma fire se dastyab maloomat ke mutabiq saal 2020 mein aag lagnay ke 4187 waqeat la parwahi ke sath Cigarette  ke jaltay hue tukre phekne ki wajah se runuma hue hain. Guzashta saal fire department ne jumla 7127 shikayat par karwai ki hai jis mein sangeen, darmiyanay aur chhootey pemanay par aag lagnay ke waqeat shaamil thay. Fire hakkaam ne kaha hai ke tambaku noshi ke baad Cigarette  zaya karne mein insani ghaflat ki wajah se aag ki sab se ziyada hadsaat ki ittila mili. Log Cigarette  phainknay se pehlay usay achi terha bujha nahi dete. Is ki wajah se gharon, dafatir, tijarti idaron, aur kachray ke ambaar mein aag bharak uthti hai.

Ohdedar ne kaha hai ke kachray kundy, jungaliati ilaqon, parks aur aatish geer mad zakheera karne walay maqamat par aag lagnay ke waqeat amuman laparwahe  se Cigarette  phainknay ki wajah se paish atay hain. Aag ke waqeat ki doosri sab se barri wajah short circuit record ki gayi hai. 2020 ke douran riyasat mein short circuit ki wajah se majmoi tor par 1992 hadsaat runuma hue. Jab kharab shuda bijli ki taron ki tabdeeli ki baat aati hai to log la parwahi se kaam letay hain. Is ke nateejay mein short circuit hota hai jis ke nateejay mein idaron ya makanaat mein aag ke hadsaat hotay hain.

ALSO READ:-Shehar mein mausam ki aankh macholi, aindah 5 dinon mein mazeed barish ka imkaan

Companies, gas, coal ki Bhatti , aatish zani, achanak dahan, tandoor ke chulhe aur chingariyan mein aag lagnay ki doosri wajohaat mein shaamil hain. Saal 2020 mein fire department ne 959.85 crore rupay maliyat ki amlaak ko bachaya aur aag se hadsaat ke douran 59 afraad ki zindagion ko bachaya, aur is ne riyasat bhar mein 4,929 farzi mashqen kee .