Saturday, April 27, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein darja hararat 45 degree honay ka imkaan

Hyderabad mein darja hararat 45 degree honay ka imkaan

Tashweesh naak 40 ka hindsa garmi uboor kar chuki hai jis se wazeh isharay mil rahay hain ke is saal mausam garma kaafi shadeed honay wala hai jaisa ke riyasat bhar mein april ke aaghaz se qabal hi din ka darja hararat 40 degree cent kar gaya hai aur Telangana ka dar-al-hakoomat Hyderabad bhi shadeed dhoop taley tab chuka hai. Telangana state development planning society (TSDPS) ke ilaqai mousmi stations ke alawa ke adaar o shumaar ke mutabiq, Shuroor nagar mein guzashta roz hi sab se ziyada darja hararat 40.2 degree record kiya gaya hai aur Narayan guda me (39.9) record kiya gaya.

Mutaliqa ohdedaron ne kaha hai ke April aur May mein garmiyon ki mumkina shiddat ka is se andaza laga ya ja sakta hai ke April ke aaghaz par hi darja hararat 40 degree ko uboor kar chuki hai.Sab se ziyada darja hararat March 2020 mein 37.2 degree centi grade record kiya gaya lekin March ke ekhtataam par hi yeh darja hararat 40 degree ko uboor kar chuka hai. Alawa azee raat ka mausam bhi kaafi garam hochuka hai mangal ki raat kam se kam darja hararat 23.3 degree centi grade record kiya gaya, jo aam darja hararat se teen degree ziyada hai. Mehakma mosmiyat hyderabad ke ohdedaron ne kaha hai ke April mein darja hararat mazeed barh jata hai aur khadsha hai ke hyderabad mein darja hararat 43 se 45 degree centi grade ke sath hi May mein mausam garma mein izafay ka imkaan hai .

ALSO READ:-Telangana me mausam shadeed, kahi muqamat par darje hararat 40 Degree se tajavees

Riyasat ke deegar maqamat par darja hararat 43 degree centi grade ko uboor karne ke sath hi surat e haal pehlay hi badter horahee hai. Bhadradari, Kutaguda aur Khammam azlaa mein 43 degree centi grade record kiya gaya jabkay Suraypet aur Nalgonda mein 42 degree centi grade record kiya gaya. Guzashta 24 ghanton ke douran 42.8 degree centi grade ke sath kamaram bhim, Asifabad mein sab se ziyada darja hararat record kiya gaya. IMD hakkaam ke mutabiq aglay ek hafta mein ziyada se ziyada darja hararat 40 se 41 degree ke gird dekha ja sakta hai jabkay kam se kam darja hararat 25 se 26 degree ke qareeb reh sakta hai.