Friday, April 19, 2024
HomeHyderabadHyderabad ke mukhtalif ilaqon mein bandron ke hamlay, Awam pareshan

Hyderabad ke mukhtalif ilaqon mein bandron ke hamlay, Awam pareshan

Rawan mausam garma mein jaisay hi garmi ki shidad badh gayi hai bandron ki dehshat bhi urooj par hai aur awaami maqamat par shehrion par hamla kar rahay hain ya gharon mein khanay peenay ki ashyake liye daakhil ho rahay hain. Greater Hyderabad Municipal Corporation ko ek ajeeb pareshani ka saamna hai. Is saal bandron ko pakarney mein ek bhi maahir agay nahi aaya hai. Shehar Hyderabad mein bandron ko pakdhney mein koi mahaarat nahi hai aur intizamia ke paas apna koi amlah nahi jo bandron ke pakdhne ka hunar jaanta ho, un halaat mein hakkaam ko muqami logon par inhisaar karna padhraha hai tadteeb tarikhe istemaal karte hain.

Padma Rao Nagar, East aur West Marredpally, Alwaal, sanatNagar, Kapara, Moti Nagar, Ameerpet, uppal, Tarnaka, Osmania University, LB Nagar aur shehar ke deegar ilaqon mein bandaro ke hamlo ki mutadool shikaya shehri idaara ne GHMC zone, Secundarabad, Khairtabad, kukatpally, Srilingampally, Charminar aur LB Nagar mein tamam chay GHMC zone mein bandron ko pakadhne ke liye theke daaron se tenders taliab kiye hai. Thekedar un ilaqon mein bandron ko pakadhne ka zimma daar hoga jahan awam ya GHMC ke veterinary department ke baad shikayaat aati hain taham koi bhi bandar ko pakadhne ki mulazmat haasil karne ke liye agay nahi aaya haii. Bandar pakadhne ki fees bohat kam hai is liye thaikaydaar agay nahi arhay hain. GHMC bandar ko pakadhne ke liye 1,500-1,600 se ziyada ki adigi nahi karna chata hai.

ALSO READ:-Aindah mah Gandipet ke 100 saal mukammal honge, sad sala taqreeb ka elaan

Delhi ya Mumbai jaisay shehron mein, shehri hakkaam ek hi bandar ko pakadhne ke liye taqreeban 6000 rupiye dete hain. Dusray shehron mein yeh ek bandar pakarney ke liye lag bhag 5000 rupay hai. GHMC ehakkaam aitraaf karte hain ke koi bandar pakadhne wala ya agency kam qeematon ki wajah se tender boli mein dilchaspi nahi rakhta hai. Bandron ko pakadhne aur unhein Adilabad aur deegar azlaa ke junglati ilaqon mein raha karna bohat ziyada mehnat ka kaam hai. Bandron ko pakadhne ke baad un ke sath acha sulooq karna hai aur usay zakhmi honay se bachana. Bandron ko khilana aur nehlana hai aur un ke pinjron ko saaf rakhna hai, iske ke alawa thaikaydaar apni qeemat par bandron ki amad o raft ka zimma daar hai. Muqami janglaat ke ehdedaron ki mojoodgi mein bandron ko jungle mein chhorna parta hai. Is ke alawa, thaikaydaar ko mehakma janglaat se ek certificate lena hota hai ke bandron ko kisi mushkil ka saamna kiye baghair riha kardiya gaya. Thekay daaron ko lagta hai ke ek bandar ko pakadhne ke liye 1500 taa 1600 rupay ki fees mein bohat mehnat aur challenges ko poora karna hai jo be Faiz hai.