Thursday, March 28, 2024
HomeHyderabadAindah mah Gandipet ke 100 saal mukammal honge, sad sala taqreeb ka...

Aindah mah Gandipet ke 100 saal mukammal honge, sad sala taqreeb ka elaan

Osman Sagar jo Gandipet ke naam se bhi mashoor hai yeh sirf ek aabi zakheera nahi hai jo 100 saal se shehar Hyderabad ki piyaas bujhata araha hai balkay yeh shehar ke aas paas ke mashhoor sayahati maqamat mein se ek hai jahan rozaanh darjanon khandano ke log qudrati manazair se lutaf andoz hotay hain.

May ki 8 tareekh ko shehar Hyderabad ko pani ki farahmi ki aik nai scheme ke tor par aur dareaye moose mein selaab ki rokkk thaam ke liye jis mansoobay ko ruba amal laya gaya tha is project ki takmeel ko ek sadi horahi hai. Jo Nizaam hukmran ki awam dosti ki ek shandaar misaal aur Hyderabad ki tareekh ka fakharya lamha hai.

Hyderabad ki tareekh mein 1908 ka musa nadi ka selaab aur uski tabah karrian na qabil faramosh baab hai. baad azan is waqt ke Nizaam ne engineering ke shoba ke mashhoor maahir M. Ves wariya se is wajah ki tehqiqaat karne ka hukum diya tha. M.vesves wariya ne 1.28 crore rupay ki laagat se dareaye Musa nadi aur dareaye Eesa par do aabi zakhair bananay ki Salah di. Is ko chhatay nizaam marhoom Mir Mehboob Ali Khan ne 5 March 1910 ko Manzoor kiya tha. Hyderabad aur Secundarabad ko pani ki farahmi na kafi thi lehaza satwen nizaam Mir Usmaan Ali Khan ne pehlay farmaan ke zareya Musa nadi par zakheeray aabb ki taamer ka kaam 15 July , 1912 ko shuru kiya.

ALSO READ:-Osman Sagar ke 100 saal, Dam ke nizd tafrehi Park ki taamer

Ek maahir aroon ke mutabiq is mansoobay par 57.35 lakh rupay laagat anay ka takhmeenah lagaya gaya tha. Qeematon mein utaar charhao ke imkanaat ko mad e nazar rakhtay hue nizaam Mir usmaan Ali Khan ne 11 November 1915 ko ek farmaan ke zariye is mansoobay ke liye 60 lakh rupay ki manzoori di. Nizaam Mir usmaan Ali Khan ke is farmaan ki ek copy media idaron ke paas mojood hai.

Budget ki manzoori ke baad nai aabi scheme ke liye kaam 15 July , 1916 ko shuru hua. Lekin jaisay hi aroon Europe rawana hua tha, is mansoobay ko ek au shakas ke sarparat diyagaya tha, jis ki shanakht A.W.Stone bridge ke naam se hai. Telangana State Archives & Research Institute ke paas dastyab qadeem urdu zabaan mein mojood records aur ehkamaat ke mutabiq yeh prajkt 8 May 1921 ko mukammal hua tha.

Record ke mutabiq Osman sagar ke zakheeray aabb ko 60 lakh rupay mein mukammal karne Mir Usmaan Ali Khan ne farmaan ke zareya manzoori di. Is mansoobay ki laagat mein izafah hua tha kyunkay aur iss mansoobay ke incharge Stone bridge ki taraf se mobayyana tour par kuch bad-intezami ki wajah se. 89,37,810 rupay ho ye the.

Record ke mutabiq mansoobay ke beshtar kaam 8 May 1921 ko mukammal hogaye thay. Is ke baad Hyderabad ko pani fraham kiya gaya tha. Is mansoobay ke kaam ka aaghaz honay se pehlay hi pani ki farahmi Secundarabad ke awam ki shikayaat thi. Is par hukoomat hind aur nizaam hukoomat ke mabain 11 saal tak khat o katabat rahi. State Archives ki director Zarina parveen ke bamujab akhri muahiday ke baad secundarabad aur ku containment ke ilaqon mein pani ki farahmi shuru hui.

Osman Sagar ki taamer se pehlay Hyderabad mein pani ke do ahem zaraye thay ek Hussain sagr aur dusra Mir Alam tank. Ibtidayi mansoobay mein Osman sagar se Mir Alam tank aur Hussain sagr ko aabi zakheeray ke har taraf khuli nhron ke zariye pani fraham karna thalikn yeh mansoobah health safety ke baray mein hukoomat hind ke cheif mahir colonel keliment ke mashwaray par mansookh kardiya gaya kyuke unhon ne pauney mein wabai bemari ka hawala diya aur kaha ke nuqsaan da madah aur deegar aloodgi barish ke mausam mein khuli nhron mein daakhil hosakti hain jo nuqsaan da hai.