Friday, April 26, 2024
HomeIndiaDehli Smoke tower Laganay wali hindostan ki pehli riyasat

Dehli Smoke tower Laganay wali hindostan ki pehli riyasat

Dehli ke wazeer maholiyaat gopal rai ne kaha hai cheif minster kejriwal ki qayadat mein aaloda hawa ko saaf karne ke liye smoke tower laganay wali Dehli Hindustan ki pehli riyasat ban gayi hai.

Rai nay baba khadak singh marg par knat place mein nasb kiye gayer smoke tower ka jaiza liya aur kaha ha ke 20 crore rupay ki laagat se nasb honay walay smoke tower ma kaam 15 augst tak mukammal karliya jaye ga is ke baad mahireen maholiyaat is ke nataij ka mutalea karey smoke tower oopar se aaloda hawa ko kich kar usay saaf kere ga aur usay 10 meter ki bulandi par chore day ga. unhon ne kaha ke Dehli hukoomat smoke tower ki taamer ke liye IT Mumbai NBCC aur tata projects DPCC ke sath mushtarqa tor par kaam kar rahi hai .agar ye phela plan kamyab raha tho Delhi me istara k maseed smoke tower lagye jangye.

ALSO READ:Delhi mein Israeli sifarat khanaay ke Qareeb kam shiddat wala dhamaka

Is tower ki bulandi taqreeban 25 meter se hai aur is ka tole 40 baaes murabba meter hoga. yeh smoke tower ek hazaar mak-ab meter sun-hwa fi second saaf karkay usay bahar ki janib kharaaj kere ga unhon nay kaha ke duniya mein China mein is qisam ke smoke tower lagaya gaya hai lekin china ki technology aur is somke tower ki hamari technology mein thora sa farq hai. jis smoke tower hum laga rahay hain is mein America technology istemaal ki jarahi hai . china mein nasim smoke tower neechay se hawa kivhta hai aur usay oopar se kharij karta hai jabkay hum jo moke tower nasb kar rahay hain, is mein sun-hwa khenchnay ka amal is ke bar aks hai.

Yeh oopar se aaloda sun-hwa ko khech le ga aur neechay saaf sun-hwa ko jari kere ga. is ke charon taraf 40 pankhe hain jo fan saaf karkay usay 10 meter ki bulandi kharij karen ge aik andazay ke mutabiq is ka assar aik murabba kilometer tak hoga taakay 2.5 pm aur manvi 10 pm yani jo aaloda sun-hwa hai a seen ko saaf kya ja sakta hai. yeh Dehli hukoomat ka aik bara project hai