Saturday, April 27, 2024
HomeSliderCarona teeka ke mutaliq shak o shubhat  ko dorkrne ki zaroorat

Carona teeka ke mutaliq shak o shubhat  ko dorkrne ki zaroorat

Telangana ke mehakma sehat ke Director Dr. Srinivas Rao ne riyasat ke awam se khwahish ki ke woh corona ke teekay le aur is talluq se kisi bhi qisam ke khadshaat  aur zehni tahaffuzaat ka shikaar nah hon. Shehar Hyderabad ke  Hitex  mein bade paymane par Covid  teeka  andazi  ke programme ke mauqa per unho ne  kaha ke zehni tahaffuzaat ko daur karne ki zaroorat hai.

Teekay lainay walay 90 feesad awam mein koi  reactions  ( zeli asraat ) nahi  hotay  taham baaz  afraad teekay lainay ke baad bukhaar  se mutasir hotay hain. aisay afraad  apne shakhsi  mualij  se mulaqaat  karte hue ilaaj karwaen.  Unhon ne zoor dete  hue kaha ke teekay lainay walay bhi laazmi tour par mask ke istemaal aur samaji faasla ko yakeeni  banana  jaisay covid  ke usoolon par amal karen. unhon ne kaha kay riyasat ke tamam afradka  ihata  karne ke liye reyasti hukoomat ne khangi  dawakhanoun  ko bhi yeh mauqa diyahai. Is programme par awam ki janib se kaafi behtar rad-e-amal  haasil ho raha hai. Registration karne wale afraad  munakhid karda awkhaat ke mutabiq aake teekay hasil kar rahe hain.

ALSO READ:-Aik din mein aik lakh se ziyada mareez sehat yab

Alawaze  director sehat aama  Telangana  Dr. Srinivas  ne wazeh kiya ke riyasat ke tamam afraad ka Covid  teeka andazi ke silsila mein ihata ke liye khangi dawakhanoun  ko hukoomat ne ijazat di hai riyasat ke liye 6 crore tikon ki zaroorat hai. markaz ki taraf se ab tak riyasat ko sirf 70 laakh teekay faraham kiye gaye. aaj 50 hazar afraad ko  teekay diye jarahay hain. dosray doz  walon ke liye 35 laakh doz kaafi ho jayen ge. unhon ne Hyderabad ke Hitex  mein  covid   ki bade  paymane par teeka andazi ke programme ke mauqa par media se baat karte hue kaha ke bah hesiyat majmoi pehlay aur dosray doz  ko mila kar 55 laakh doz  riyasat ke liye darkaar hon ge. Markazi hukoomat ne companiyon ke zareya 25 feesad teekay khangi dawakhanoun  ko diye,  taham reyasti hukoomat  Telangana  ke liye zayed teke  hasil karne ki koshish kar rahi hai kyun na ke in teekoun ki tayyari Hyderabad main hi ho rahi hai.