Tuesday, April 23, 2024
HomeIndiaAik din mein aik lakh se ziyada mareez sehat yab

Aik din mein aik lakh se ziyada mareez sehat yab

Hindustan mein coronavirus ki raftaar mein qadray kami aur Coronavirus ke naye mareezon ke muqaabla mein is mozi waba se sehat yab honay walay mareezon ki tadaad ziyada rehne ke sabab guzashta 24hrs ke douran fa-aal mareez aik lakh se zayed kam hue hain. Darin Isna guzashta 24hrs ke douran mulk mein 14 lakh 82 hazaar 754 afraad ko corona vaccine di gayi. Mulk mein ab tak majmoi tour par 19 crore 18 lakh 79 hazaar 503 afraad ko anti corona vaccine diye ja chukay hain.

Markazi wizarat sahet ki janib se subah jari taaza tareen adaad o shumaar ke mutabiq guzashta 24hrs mein 259591 naye mamlaat ke darj honay ke sath coronavirus mutasireen ki majmoi tadaad 2 core 60 lakh 31 hazaar 991 hui hai. Isi arsay ke douran teen lakh 57 hazaar 295 mareez sahetmand hue jis se sahetyab honay walay mareezon ki majmoi tadaad 22712735 hogayi. mulk mein coronavirus se sahet yabi ki sharah 87.25 feesad hogayi hai. Isi arsay ke douran fa-aal mamlaat 101953 se ghatt kar 30 lakh 27 hazaar 925 reh gaye hain. Guzashta 24hrs ke douran mulk mein 4209 mareez apni jaano se haat dho baithe hai. Jisse Coronavirus se halak hone walo ki tadaad 291331hogayi hai.

ALSO READ:-Coronavirus sehat yab honay walon ki tadaad mein musalsal izafah

Hindustan mein fa-aal mareezon ki sharah ghatt kar 11.63 feesad reh gayi hai, jabkay amwaat ki sharah 1.12 feesad hogayi hai. Riyasat Maharashtra mein fa-aal mareezon 18444 ghatt kar 385785 reh gaye hain. Isi arsay ke douran riyasat mein 47371 mazeed mareezon ki sehat yabi ke baad sehat mand honay walay mareezon ki majmoi tadaad 5026308 hogayi hai jabkay 984 mareezon ki halakat ke sath amwaat ki majmoi tadaad 85355 hogayi hai.