Tuesday, October 15, 2024
HomeLatest NewsAraazi tanaza Etela Rajender ke khilaaf tehqiqaat ka aaghaz

Araazi tanaza Etela Rajender ke khilaaf tehqiqaat ka aaghaz

Vijilns ke ohdedar aur anti corruption bureau (ACB) ke numainday TRS ke senior rehnuma aur wazeer sehat Etela Rajender ke khilaaf zameen par qabza karne ke ilzamaat par tafseeli tehqiqaat karne zila Medak ke Ramaiya mandal ke achimpet gau pahonch gaye hai. Kyuke Ramapet ke Ramaiyaper aur hakeempait dehaat ke kisanon ke ek group ney chief minister ke K.Chandrashekar Rao

se rabita kiya jis mein wazeer e sahet Etela Rajender  par yeh ilzaam lagaya hai ke unhon ney un ki zameenen zabardasti haasil karli hain, lehaza KCR ney chief secretary Somesh kumar ko fori tafteesh karne ka hukum diya hai. Is ke baad, vijilins aur ACB ke ohdedar ramiyapet poanch gaye hain . un dono dehaat ke kisanon ki shikayaat ko qubool karte hue, unhon nay un ke sath baat cheet ki hai aur un zamiinon ka dora kiya hai jo mobayyana tor par wazeer e sahet nay qabza karliya hai. Tawaqqa ki jarahi hai ke ohdedaron ko apni tehqiqaat ki tafseelaat jald hi media ko bitayen gi.

ALSO READ:-Coronavirus se bachney ke liye ahteyati tadabeer par amal karne governor ki awam se appeal

Yaad rahay ke guzashta roz Telangana ke wazeer e sahet Etela Rajender ek tanaza mein mubtala hogaye jab un par ilzaam lagaya gaya ke unhon ney hichri qaim karne ke liye zabardasti zameenen haasil ki un ilzamaat par rad-e-amal zahir karte hue chief minister K.Chandrashekar Rao

nay chief secretary Somesh kumar ko hidaayat ki ke woh Medak district collector ki madad se lagaye gay ilzamaat ki tehqiqaat karen aur inhen ek jame report paish karen . Is ke sath hi unhon nay V and E ke wing director general Porum Chand Rao ko bhi ilzamaat mein haqeeqat maloom karne ka hukum diya. Unhon nay V and E se ibtidayi report jald paish karne aur phir tehqiqaat ke baad tafseeli report paish karne ki Hadayat di hai.