Saturday, April 27, 2024
HomeSliderAmerica mein jashnn, corona pabandiyan bhi khatam

America mein jashnn, corona pabandiyan bhi khatam

Poori duniya mein dehshat phelanay wali aalmi dabaw coronavirus ke khilaaf jung taiz horahee hai aur corona teeka is waqt is se tahaffuz ka behtareen zareya hai. is ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke America mein 70 feesad nojawanon ko corona ki vaccine lagnay jashan manaaya gaya aur shandaar aatishbazi ka muzahira kiya gaya. bain al aqwami media ki report ke ilawa aatishbazi ki khabar di gayi hai jis ke baad duniya ko aik misbet pegham mila hai ke corona ki waba jald hi deegar mumalik mein bhi khatam hojaye gi.

Bain al aqwami media report ke mutabiq New York mein 70 feesad nojawanon ko corona vaccine laganay ka hadaf mukammal honay par jashnn manaya gaya aur is mauqa par muqami intizamia ki janib se shandaar aatish baazi ka muzahira kiya gaya. corona mamlaat mein izafay ke baaz shehrion ko is maqam par barri tadaad jama honay ki ijazat nahi thi taham aatishbazi barah e raast national telivision channel par Nashar ki gayi. aatishbazi ke ekhtataam par muqami hukoomat nay New York mein aed corona pabandiyan khatam karne ka elaan karte hue shehrion par zordya ke woh kuch din sops par amal karlen.

ALSO READ: Uyghur Musalmanoun ke liye America meharban, cheeni mazalim ki tehqiqaat ka faisla

New York ke governor andrew cumo ne elaan kya ke ab hamari riyasat ka shumaar sab se ziyada nojawanon ko vaccine laganay walon mein pehlay maqam par hoga, yeh koi mamooli baat nahi, hum ne awam ke taawun se aik ahem sang e mil uboor kya hai . unhon ne kaha hai ke 30 feesad shehrion mein 12 taa 17 saal ki Umar ke bachay hain, jinhein filhaal vaccine faraham karne ka faisla nahi kya gaya. New York ke governor ne ahem sang e mil uboor karne par siyasi jamaaton ke qaideen, awam aur doctors ka shukriya bhi ada kya. yaad rahay ke corona ki pehli lehar ke waqt America is waba se mutasirah mumalik mein dosray maqam par tha. jahan rozaanh lakhoon log is marz mein mubtala ho rahay thay jabkay marnay walon ki tadaad hazaron mein thi.