Tuesday, May 7, 2024
HomeLatest NewsUyghur Musalmanoun ke liye America meharban, cheeni mazalim ki tehqiqaat ka faisla

Uyghur Musalmanoun ke liye America meharban, cheeni mazalim ki tehqiqaat ka faisla

Washington: China mein Uyghur Musalmanoun par ho rahay mazalim se saari duniya waaqif hai lekin ab America ne un Musalmanoun par ho rahay mazalim ki tehqiqaat ka faisla kiya hai. America ne China mein uyghur Musalmanoun par aaed ki jarahi pabandion ko aqliati baradri ki nasal kashi qarar dete hue is ki tafseeli tehqiqaat karne ka mutalba kiya hai.

Khabar rasan agency Covid ki ek report mein kaha gaya hai ke Amrici wazeer-e-kharja Mike Pompeo ne aalmi fouj daari insaaf ke safeer morse teen ko Uyghur Musalmanoun par horahee aziyatoun ki tehqiqaat ki zimmedaari sompi hai. 3 mehdood waqt mein iski tehqiqaat mukammal karne ke baad jald hi apni report paish karenge.

Aqwam-e-mutahidda ke qawaneen ke mutabiq kisi bhi aqliati baradri ka badi tadadmin qatal aam hona aur iski abadi ko qaboo mein karne ke liye kiye jane walay iqdamaat ko nasal kashi ke Zumra mein shumar kiya jata hai.

China ke sengkang khud mukhtar khittay mein aqliati Uyghur musalmanoun par ho rahay mazalim ke paish-e-nazar Beijing par musalsal insani haqooq ki pamali ka America ilzaam aayed karta raha hai. China mein uyghur Musalmanoun ki jabran nasbandi karna, inhen hirasati marakaz mein rakhna aur zabardasti mazdoori karwana is jaisi kayi aur azeeyaten di jarahi hain jiski bunyaad par America ne China par Uyghur musalmanoun ke qatal aam ka ilzaam aaed kiya hai.

Bazahir America ki janib se China mein Musalmanoun ke khilaaf honay walay mazalim ki tehqiqaat ki baat ki jarahi hai lekin is ke darparda anasir par saaf niyat ki mohar nahi lagai ja sakti kyunkay donald turmp intizamia aur China ki hukoomat ke darmiyan siyasi aur safarti kasheedgiyan sab par ayaan hain. Trump intizamia ne China ke sath apni ranjish ke tehat apne mafadaat ke husool ke liye ayshayi mulk par kayi ek pabandiyan aaed ki hain jis mein cheeni tijarat ko Amrici sarzamen par mehdood karna bhi shaamil hai lehaza is tanazur mein China ke mazloom Musalmanoun ke sath America ki hamdardi par sawalia nishaan hi hoga.