Friday, April 26, 2024
HomeIndiaZyada fees aur school aane ke liye tulaba ko majboor na karne...

Zyada fees aur school aane ke liye tulaba ko majboor na karne khangi schools ko hidayat

Hyderabad: Muhkema school education ne khangi schools ko hidayat di hain ke woh koie bhi taalib e ilm jo apne sarparasto ya walidain ko corona bohran ki wajeh se kho chuka hai is taalib e ilm ko Tuition fees ki adam adaigi ya uniform ya seekhne ki salahiyat ki kami ki wajeh se school se na nikalein. Sarkari hukum naama RT 75 ka hawala dete huwe muhkama ne khangi school intezamiya ko taleemi saal 2021 aur 2022 ke dauran kisi bhi khisam ki fees na badane ki hidayat di hai aur unse kaha ke woh agle ehkamat tak mahana bunyadon par sirf tution fees wasool karein.

Jaisa ke high court ki hidayat ke mutabiq muhkama ne covid 19 wabai amraz ke tanazur mein ba qaida classes ke liye sarkari aur khangi dono schools ko dubara kholne ke liye ek meyari tareeqe kaar (SOP) jaari kiya. SOP ke mutabiq ghar se taleem hasil karne ke khayishmand tulaba ko aisa karne ki ijazat honi chahiye aur school intezamiya kisi bhi taalib e ilm ko jismani taur par off line classes mein shirkat ke liye majboor na karein agar walidain bache ko bhejne ke liye tayyar na ho toh unhe aisa karne ki ijazat ho. Intezamat ko yeh bhi di gayi hain ke agar koe bacha school ya off line classes mein shirkat nahi karta hain toh us par jurmana na lagaye.

Mask pehanna safai aur haathon ko ba qaidagi se dhona aur tamaam tulaba aur amle ki jaanib se jismani doori ko barqarar rakhna lazim qaraar diya gaya hai. Wabai Surat e haal ke paish e nazar schools ko saqti se hidayat di gayi ke woh agle ehkamat tak assembly group workers aur games ki ijazat na dein. Tulaba ke darmiyan qalam pencil books khuraaq water bottle sheeshe aur rikabi ya is jaisi ashiya ka ishterak bhi mamnoo qaraar diya gaya hai. Agar kisi bache mein covid jaisi alamat payi jaati hai toh khareebi primary health center ya kisi khareebi qabil e etemaad tibbi sahulat ke markaz se rujoo ho kar covid test karaye.

Head master se kaha gaya ke woh tulaba ko class room intrection ke liye tayyar karein khas taur par sust seekhne walon ke liye unke liye arzi course design kar ke un par mehnat karein schools se yeh bhi kaha gaya ke woh tulaba ko covid safety ambassador ki haisiyat se tarteeb dein taake walidain aur khandano mein covid ke munasib rawayye par shaoor bedar kar sakein.