Saturday, April 27, 2024
HomeIndiaZor lagata hai to pathar pani banjata hai, Modi ka teeka andazi...

Zor lagata hai to pathar pani banjata hai, Modi ka teeka andazi ke mauqa par bayan

New Delhi: Aaj Hindustan bhar mein corona ke khilaaf teeka andaaze ka aaghaz ho chuka hai aur is mauqa par wazeer-e-azam Narendra Modi ne qoum se khitaab karte hue kaha Hindustan ki taaqat aur scienci aloom mein Mulk ki Mahrat ki ye ek zinda missal hai, itne khaleel waqt may corona vaccine banae banana koi aasaan kaam nahi hai. Shayar raam Dahari singh dankar ne kaha tha ke manu jab zor lagaata hai, pathar pani ban jata hai.

Modi ne kaha ke Hindostan ki teeka andazi muhim aik ahem kamyabi hai, jis ko is ki sab se ziyada zaroorat hai usay pehlay is ka teeka lageyga. jinhein, corona infection ka sab se ziyada khatrah hai, inhen sab se pehlay corona ka teeka diya jayega. Yahan is baat ka tazkara bhi ahmiyat ka haamil hai ke corona ka teeka jin afraad ko sab se pehlay diya jayega un mein Dr, nurse, dawakhanoun mein safai karne walay, tibbi aur paramedical ohdedar hain woh  Sabse pehle corona vaccine chahay woh sarkari dawakhanoun ya phir khangi dawakhano se wabasta hon har ek ko yeh vaccine tarjeehi bunyaad par di jayegi.

Modi ne kaha is ke baad un afraad ko teeka lagaya jaye ga jin par zaroori khidmaat ya Mulk ki hifazat ya aman wo qanoon ki zimma daari hai, jaisay police aur fire brigade amlah ya is shoba mein kaam karne walay deegar afraad un sabhi ko vaccine tarjeeh ki bunyaad par lageygi. Un sab ki tadaad taqreeban teen crore hosakti hai aur iski teeka ka kharch markazi hukoomat bardasht karegi.