Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadZoo mein dakhla ka ticket aur mehanga honay ka imkaan

Zoo mein dakhla ka ticket aur mehanga honay ka imkaan

Hyderabad: Shehar-e-Hyderabad ke awam ke liye qareebi ilaqon mein tafreeh ke liye darjanon maqamat hain jin mein Charminar, Mecca Masjid, chowmahalla palace, salarjung museum, Nehru zoological park ( zoo park), qilah Golconda, Gumbadan Qutub Shahi , Tank band, Necklace road, sanjeeviah aur Indra Park un mein qabil-e-zikar hain. Hyderabad ka Zoo Park sirf riyasat Telangana mein hi nahi balkay Hindustan bhar mein ek ahem zoo mana Jata hai jo bachon ke alawa badey aur buzurag afraad ke liye tafreeh ke liye ahem maqam mana jata hai lekin ab aisa mehsoos hota hai ke zoo park ko jana bhi ab mehanga saabit hoga.

Zoo park mein dakhlay ki fees mein izafay ka imkaan hai. Covid-19 wabai bemari ke baad chirya ghar ke parkon mein mehsoolat mein behtari laane ke liye mehakma janglaat ne dakhla fees mein izafah karne aur badey hujhoom ko Raghib karne ke liye jadeed programon ka ihtimaam karne ka faisla kiya hai. Yahan wazeer janglaat Indrakaran reddy ki zair-e-sadarat chirya ghar aur parks authority telangana ke ijlaas mein yeh faisla kiya gaya .

is wabai amraaz ke baad Hyderabad ke zoo park mein riyasat ke 8 chirya ghar aur deegar janglati parkon ke sath honay walay kamon mein taizi se kami waqay hui hai. Is ke nateejay mein parkon mein awam ke zariye haasil honay wali koi badi aamdani nahi ho saki hai jis ke nateejay mein janwaron ko khanay peenay aur deegar kamon samait zoo ke umoor par shadeed assar pada hai. Wazeer ne badey parkon mein izafi mehsoolat ko nafiz ki tajweez paish ki aur is zimn mein deegar funds ke istemaal ki farahmi ka bhi jaiza liya gaya. unhon ne hukkaam ko mashwara diya ke chirya ghar, parkon aur deegar jnglati parkon ki aamdani mein behtari laane ke liye jadeed nazriaat samnay layein. unhon ne un se kaha ke woh wildlife aur snake society jaisi tanzeemon ke sath hum ahangi se kaam karen taakay woh zaroori tajaweez paish kiye ja sakain.