Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaZomato Company Ka Delivery Boy Musalman Honey Par, Gahak Ney Khana Lene...

Zomato Company Ka Delivery Boy Musalman Honey Par, Gahak Ney Khana Lene Se Kiya Inkaar

New Delhi : Firqa parast taqatoun ney mulk Hindustan mein, sabhi mazahab ke log jo ek chaman mein mukhtalif phooloun ki tarhan rehtay they. un mein firqa parasti ka zeher ghol kar aur un mein phoot dalkar sabhi mazahab ke logon ke aapsi bhai charah ko khatam kar diya hai. aur ek dosray ke khilaaf nafrat ki aag bhardi hai. aur yeh aag ab is qader phail gayi hai ke ab do mazhab ke darmiyan ki yeh nafrat mandir, masjid aur deegar cheezon ke alawa ensaan ki bunyadi zaroorat ”Khane“ ( ghiza ) par aitraaz karne tak pohanch gayi hai. jo intehai ghair akhlaqi wo ghair insani harkat hai.

Darasal Madhya pradesh ke Jabalpur ke rehne walay Amit Shukla naam ke 1 shakhs ney online food delivery kar ney wali company ”Zomato“ se khana mangwaya. jab is order par ”Zomato“ company ke delivery boy ”Faiyaz“ delivery deney gaya. Jab amit shukla ney dekha ke khana leker aaya delivery boy musalman hai to woh khana lene se inkaar kar diya aur ”Zomato“ ka order cancel kar diya, yeh keh kar ke kisi hindu ko bhejo.

Amit Shukla ney mangal ki raat Tweet kiya ke ”abhi abhi mein ney zomato ka order cancel kar diya. aur kaha ke unhon ney khana ghair hindu shakhs ke haath bheja aur kaha ke woh usay nah to badal satke hain aur nah hi order cancel karne ka paisa wapas karsakte hain. mein ney kaha ke aap mujhe khana lene par majboor nahi kar sakte. mujhe paisa wapas nahi chahiye, bas order cancel kardo“.

Amit Shukla ke is tweet ke jawab mein zomato ne tweet karte hue likha ”khane ka koi mazhab nahi hota, khana khud ek mazhab hai “.

Online food delivery karne wali company ”zomato ne is gahak ke mazhabi bhed bhao walay rawayya ka jis terhan se muqaabla kiya hai, iski soical media par khub taied ki ja rahi hai. is maamla ko lekar social media par jari behas ke beech ”zomato “ ke delivery boy Fayaz ney apne radd-e-amal ka izhaar kiya hai. Fayaz ney is poooray waqea ke baad kaha iska waqea se mujhe kaafi dukh pohancha hai, lekin mein kiya kar sakta hon. hum kaafi ghareeb log hain aur hamaray sath aisa hota rehta hai.

Is Se pehlay bhi ”Zomato“ company ney apne network par khana pohanchane walay ek ladke ke mazhab ko lekar gahak ki shikayat ko suneney se inkaar kar diya tha.

Company ke haq mein kayi jani maani hastiyan khadi hain. Jin mein jammu Kashmir ke sabiq wazeer-e-aala Umar Abdul Allah aur sabiq cheif election commissionaire S Y Qureshi wo deegar shaamil hain. jinhon ney zomato ki tareef ki hai.

Doosri taraf khana Pohanchane wala musalman honay par khana lene se inkaar karne walay shakhs amit shukla ko social media par awam ki janib se talkh battain sunai ja rahi hain aur gussa ka izhaar kiya ja raha hai.

Is tarha ki harkat waqai ghair akhlaqi harkat hai. mazhab ko leker tasbanah rawayya ikhtiyar karna aur apni Nafrat ka izhaar karna ghalat hai. –YTN STAFF