Brazil mein aik navzaidah bachi ko 7 ghanton baad bchalyagya jisay is ke afraad khandan ney zindah dfnadya tha. barazili police ney Mato Grasso State mein Xingo National Park mein desi bachi ko dafan kiye janay ke 7 ghanton baad qabar khoud kar bchalya. Canarana town mein matti ke neechay 7 ghanton taq be kafan dafan rehne ke bawajood bachi ki sansen chal rahi theen. muqami khabar rasa idaron ke mutabiq police ko aik anjaan shakhs ney ittila di thi jis par fori karwai karte hue 50 snti meter garhay mein dafan bachi ko nikaal liya gaya hai. maan ki nani ko girftar karte hue is par qatal ka muqadma dair kya gaya hai. state prosecutor Paulo Robertu do Prado ney ae f pi ko bataya ke hum tahaqeeq kar rahay hain ke aaya yeh shirkhwar ko maarny ki mobayyana koshish thi ya phir woh samjhi ke bachi mar chuki hai. Kamayura tribe se talluq rakhnay walay khandan ney police ko bataya ke bachi ki 15 sala maa ke mangal ko bachi ke janam dainay ke baad woh farsh se takra gayi thi aur woh kuch halchal nahi kar rahi thi is liye yeh samgha gaya ke woh mar chuki hai aur usay muqami rasomaat ke mutabiq dafan kardiya gaya. taham bachi ko janam dainay wali maan ki umar aur navzaidah ke baap ki janib se bachi ko apni aulaad tasleem se inkaar karne par police ka shuba barh gaya. bachi ko bacha lene ke baad Boa Agua Hospital ke intensive care muntaqil kardiya gaya. police ney bachi ki maa aur is ki nani ko hirasat mein le liya tha aur phir baad azan inhen raha kardiya gaya