Thursday, April 25, 2024
HomeIndiaZindagi ki yomiya zaroriat poori karne ke liye 46 feesad Hindustani qarz...

Zindagi ki yomiya zaroriat poori karne ke liye 46 feesad Hindustani qarz lainay par majboor

Hyderabad: Corona ka tamam tabqaat ke muashi aur logoun ki aam zindagi par shadeed assar pada hai. San-aton mein mulazimat mein kami aur tankhwahon mein katoti ke sath, Kam darmiyani aamdani walay tabqa shadeed mutasir huwa hai. Wabai marz se qarzon aur udhaar ki tarjeehat aur nuqta nazar mein tabdeeli aayi hai. Covid lockdown ke douran logon ke qarz lainay ki majabuuriyon ko samajhney ke liye bain ul aqwami sarif Finance faraham karne walay ek muqami firm ne 7 shehron mein ek tehqeeq ki.

Is tehqeeqi Report se yeh baat samnay aayi hai ke 46 feesad afraad ne apne ghar ki bunyadi zaroriat ki takmeel ke liye qarz liya tha. Tankhwahon mein katoti ka assar agli badi wajah thi ke ziyada tar qarz lainay walon ne udhaar ka sahara liya. Tehqeeq ke douran kiye jane walay mutalea mein 27 feesad jawab dahindgaan ne qarza lainay ke peechay doosri sab se badi wajah pehlay ke qarz ki takmeel ke liye apni mahana qistoon ki adaigi ka hawala diya.

August 2019 mein bhi isi terhan ka ek mutalea kiya gaya tha. Is ke baad is tehqeeq mein yeh baat samnay aayi hai ke qarzay lainay ki bunyadi wajohaat mein se, Khandan ki zaroriat poori karna shaamil hai aur is mein 46 feesad jawab dahindgaan shaamil hain aur is ke baad tarz zindagi ko badhhawa dainay ki khwahish mand 33 feesad hai. Tarz zindagi ko up grade karne ka taaza tareen Smartphone, TV, Fridge ya gaadi ki kharidi ka hawala diya hai. Tehqeeq ki ek aur inkishaaf karti hai ke aam auqaat ke bar aks Covid ke douran loog apne doston aur konbon se qarz lena ko tarjeeh dete hain kyunkay sorat-e-haal ko mamool par laane par inhen raqam wapas karne mein narmi millti hai. Tehqeeq mein yeh bhi bataya gaya hai ke 50% jawab dahindgaan ne sorat-e-haal mamool par laane ke baad udhaar raqam wapas karne ka aitraaf kiya. 13 feesad logon ne kaha ke woh mahana aqsat ki raqam ada karne ke baad corona ke douran li gayi raqam wapas karne par ghhor karen ge.