Tuesday, May 7, 2024
HomeLatest Newszehni mazoor Mohammed Abdullah nay sun sun kar hi quran ka hifz...

zehni mazoor Mohammed Abdullah nay sun sun kar hi quran ka hifz karliya

Riyadh: Quran hakeem Allah rab ul izzat ka ek azeem tohfa hi nahi balkay yeh ek jeeta jaagta moujza bhi yeh hi wajah hai ke duniya bhar ke log jin ki maadri zabaan arabi nahi hoti is ke bawajood is Zakheem kitaab ka hifz kar lete hain jo kay is aasmani kitaab ka Muizzah hi hai. doosri janib kam sun Hufaz ke barey mein kaafi sun chuke hain taham pedaishi tor par zehni mazoor Hafiz quran ke barey mein is se qabal kabhi suneney mein nahi aaya. 31 sala Mohammad abdullah al qarni riyadh mein muqeem hai jo pedaishi tor par zehni mazoor hai lekin qudrat ne usay misali Hafza ataa kiya hai .

al qarni kaafi arsa se sahib farash hai usay zehni mazoori ke ilawa deegar jismani bemariyan bhi la-haq hain magar misali yaadash nay Mohammad al qarni ko muashray mein woh mumtaz maqam ataa kar diya jo barray barron ko naseeb nahi hota .

media se guftagu karte hue Mohammad ke barray bhai aiezz al qarni nay kaha ke mera bhai pedaishi zehni mazoor hai, walidain ke intqaal ke baad is ki parwarish mein nay ki .

Mohammad al qarni jo is waqt riyadh ke Shah Fahd medical center mein zair e ilaaj hai zindagi ki jung hans kar lar raha hai. al qarni ko cancer aur gurdon ke amraaz la-haq hain taham muskurahat is ka imtiaz hai .

Hafiz Mohammad al qarni ko rab kareem nay jo misali Hafza ataa kya hai is ki badolat is nay quran kareem mehez sun kar hi hifz kar liya. al qarni ke bhai nay mazeed kaha ke Mohammad kyunkay pedaishi tor par mazoor tha is liye woh kabhi school ya madrasay nahi gaya, usay likhna to dur ki baat parhna bhi nahi aata lekin is nay mehez quran ko sun kar hi hifz karliya hai .