Monday, May 20, 2024
HomeIndia“Zehni kharabi ka shikar hai Azam Khan”: Sushma Swaraj

“Zehni kharabi ka shikar hai Azam Khan”: Sushma Swaraj

New Delhi: Sabiq e wazeer kharja Sushma Swaraj ney twitt ke zareya Samajwadi Party ke rukan parliament Azam Khan ko Lok Sabha ki deputy chairman Rama Devi ke talluq se qabil aitraaz tabsarah karne par yeh kehte huwe phatkaar lagai ke woh Zehni kharabi ka shikar hain. Aur Waqar ko barqarar rakhnay ke liye sakht saza ke mustahiq hain.

Unhon ney kaha ke Azam Khan aisay bayanaat dainay ke liye jany jatay hain, jis se yeh sabit hota hai ke woh zehni kharabi ka shikaar hain. Unhon ney Lok Sabha Deputy Chairman Rama Devi se mukhatib hokar jo bayan diya woh shaistagi ki hadoun ko uboor kar gaya.

Wazeh ho ki Samajwadi Party ke rukan parliament Azam Khan nye jumaraat Muslims khawateen (Shadi ka haq tahaffuz) bil 2019 par Lok sabha mein behas ke douran apne khitaab ki shuruaat aik shair se ki jis mein unhon ney kaha ke ”to idhar udhar ki baat nah kar, yeh bata qaafila lauta kahan is par Deputy Speaker Rama Devi ney un se kaha ke aap idhar udhar nah dekhen, balkay meri taraf dekh kar apna muaqqaf rakhen.

Is ke baad Azam Khan ney aik tabsarah kia tha, jis par hukmran fareeq ke arakeen ney sakht mukhalfat ki aur kayi arakeen ney un se maffi mangnay kaam mutalba kya tha. Rama Devi ney bhi is tabsarah par aitraaz jataayaa tha. Usi tabsarah se mutaliq Sushma Swaraj ney Azam Khan ko zehni kharabi ka shikaar bataya hai.