Tuesday, May 14, 2024
HomeIndiaZee TV ne Tableeghi Jamaat ki ghalat khaber nishar karne par maffi...

Zee TV ne Tableeghi Jamaat ki ghalat khaber nishar karne par maffi maang li

New Delhi: Zee News ne Arunachal Pradesh mein Corona se Tableeghi Jamaat ke 11 mutasireen ki khabar ko insani bhool qarar dete huve maffi talabb ki hai. Jamiat Ulmaye Hind ne Zee News ke Screenshot jari karkay ye ittela di hai. Jamiat Ulema-e-Hind ke jari kardah Screenshot mein likha gaya Arunachal Pradesh mein corona mutasir sirf ek mareez ki tasdeeq huvi hai. Insani bhool se Zee News par Arunachal Pradesh mein Tableeghi Jamaat ke 11 logoun ke mutasir honay ki khabar dikhayi gayi. Is ghalti ka hamein afsos hai.

Arunachal Pradesh mein sarkari tor par sirf 1 corona misbet honay ki tasdeeq huvi hai jab ke Zee News ne Tableeghi Jamaat ko badnaam karne ke liye 11 Tableeghi Jamaat ke logoun ke Corona se mutasir honay ki khabar chalaye thi. Jamiat Ulema-e-Hind ki qanooni karwai ke liye adalat ka darwaaza khitkhitane ke baad Zee News ne maffi mangi hai.

Wazeh rahay ke Jamiat Ulema ke qaumi sadar Maulana Syed Arshad Madni ne 7 April ko Tableeghi Jamaat ke khilaaf muhim chalanay walay aur is se mutaliq jhooti khabar chalanay walay Television News channels ke khilaaf Supreme Court mein muqadma dair kiya tha. Is ke baad Zee News ka ye moazrat nama samnay aaya hai.

Khayaal rahay ke Zee News ne Tableeghi Jamaat ke khilaaf ek muhim chaid rakhi thi aur Maulana Arshad Madni ke baar baar darkhwast ke bawajood Zee News sameit mutadid Channela ne apni muhim jari rakhi. Jis ke baad Maulana ne qanooni qadam uthatay hue mutadid News Channela ke khilaaf Supreme Court mein muqadma dair kardiya jo samaat ke liye manzoor karliya gaya hai.

 Guzashta roz Jamiat Ulema-e-Hind ki imdadi qanooni Committee ki taraf se Electronic aur Print Media ke khilaaf Supreme Court mein ek arzi daakhil ki gayi thi jisay samaat ke liye manzoor kar liya gaya, Is arzi mein kaha gaya hai ke Media Musalmanoun aur Tableeghi Markaz ko leker intahi ghair zimma daarana Reporting kar raha hai is ki mutassbana Reporting ke khilaaf qanooni karwai honi chahiye. aur is ki khabroun par rokk laganay ka mutalba bhi kiya gaya hai is ke ilawa Social Media par farzi khabrain phelanay par karwai ke liye hukum dainay ka bhi mutalba kiya gaya hai. Supreme Court mein dair darkhwast mein Media idaroun ke zareya Musalmanoun aur Tableeghi Jamaat par hone wali Reporting se firqa wariyat phail rahi hai.

Apni arzi mein Jamiat Ulema-e-Hind ne media ke khilaaf karwai ka mutalba kiya hai. Tableeghi jamaat ke khilaaf ho rahay media trial par Advocate Aijaz Maqbool ne darkhwast dair ki hai. Arzi mein ye bhi kaha gaya hai ke Nizamuddin markaz ko media firqa waranah rukh day raha hai, Darkhwast mein ye bhi kaha gaya hai ke tableeghi jamaat se mutaliq Print aur electronic media ki report poori muslim qoum ko nishana banaya aur musalmanoon ki tauheen ki gayi aur un ki dil aazari ki gayi. Darkhwast mein kaha gaya hai ke media ke zariye jo rawayya ikhtiyar kiya gaya is se musalmanoon ki azaadi aur un ki zindagi ko khatrah la-haq hogaya hai jo dastoor ayeen mein diye gaye ke buneadi haqooq ke khilaaf hai.

Darkhwast mein kaha gaya hai ke beshtar it-tila-aat mein corona Jihad Corona dehshat gardi ya Islami bunyaad parasti jaisay jumlay ka istemaal karte hue ghalat bayani ki gayi hai. Is darkhwast mein mutadid social media posts ko bhi darj kiya gaya hai jis mein ghalat tor par COVID-19 ko phelanay ke liye musalmanoon ko zimma daar thehraya gaya hai. Is ke sath hi jhooti aur jaali videos ka bhi zikar kiya gaya hai. –YTN STAFF