Sunday, April 20, 2025
HomeSliderZarayi zaminat ke Registration ka aaj se dobarah aaghaz

Zarayi zaminat ke Registration ka aaj se dobarah aaghaz

Hyderabad: Riyasat Telangana mein 55 ayyaam ke baad zarayi zaminat ke Registration ko baqaadah tour par Dharani Portal ke zareya aaghaz kiya gaya hai. Telangana ke dar-ul-hukoomat Hyderabad ke 20 mandilon ke ilawa 570 thisildaron ke dafatir mein Registration ka aaghaz huwa. Zaminat ki kharidari samait baaz deegar khidmaat ke khawahshmandon ne Slot ki booking ka aaghaz kar diya hai.

Hukoomat ne naye Revenue qanoon ke tehat thiseldaron ku ab sab Sub Registrar banadiya hai. Aaj pehla Registration Dharani Portal ke zareya yaadari Bhongir zila ke Addagudur mandal ke joint sab Registrar ke daftar mein kiya gaya jaisa ke hafta ko Dharmaram gaon ke rehne walay D Virya ne zameen ki karwai ke liye apna slot book kiya tha. Virya ne slot ke zareya apni ek aekar araazi ke Registration ki karwai ka aaghaz kiya aur Registration ka amal sirf 10 minute mein mukammal karliya gaya. Dharani Portal ke aaghaz ke baad Registration ki khidmaat mandal ke hudood mein dastyab rakhi gayi hain. Qabal azeen Registration ka kaam 141 Registration ke dafatir mein kiya jata tha.

Yaad rahay ke Telangana hukoomat ne riyasat bhar mein Registration ke amal par rokk lagadi thi. Riyasat mein plats, Makanaat, Flats aur deegar jayidadon ke Registration ke amal ke liye mazeed 15 taa 20 din ka intezaar karna hoga. Is Portal ke zareya zarayi aur ghair zarayi zaminat ki alahda alahda tour par tafseelaat up load ki jayen gi taakay mustaqbil mein zaminat ka tanaza peda nah ho. Riyasat mein 2 November se 570 tehseel dafatir mein zarayi zaminat ke Registration ke amal ka aaghaz hogaya hai. Zaminat ke Registration ke liye araazi ke kharidar ka naam Registration aur Mutation ka amal mukammal hotay hi Dharani Portal ki site par up load kar diyajaye ga.