Dhaka: Bangladesh mein monsoon ki aamad aur taiz baarishoun ke nateeje mein Rohingya panah Guzeen camps mein zameeni todey khiskane ( Land Sliding ) ke sabab 1 shakhs halaak jabkay sadhey 4 hazaar afraad be ghar hogaye. report mein aqwam-e-mutahidda ke hawalay se kaha gaya ke kaks bazaar ke qareeb qaim camp mein Myanmar se naqal makani karne walay 9 laakh Rohingya musalman panah Guzeen hain, wahan 3 din ke douran taqreeban 35 centimeter barish record ki gayi jis ke baad wahan land sliding hogayi.
Myanmar aur Bangladesh ki sarhad ke qareeb pahadiyoun par banaye gay un arzi camps mein jhopdiyan bananay aur aag jalanay ke liye darakhtoun ko kaata gaya tha jis ki wajah se yahan ki zameen kamzor hogayi thi aur yahan ab tak 26 land slides hochuki hain.
Aqwam-e-mutahidda ki tanzeem baraye panah Guzeen ke ohdedar Areez Rehman nay kaha ke tufan ke nateejay mein 30 ke qareeb jhopdiyan mutasir huien jabkay ek 50 sala khatoon deewar girnay ki wajah se halaak hogai.
Is zimn mein ek 40 sala Rohingya panah Guzeen Noor Mohammad nay kaha ke markazi camp se unke 12 rishta daar sheets se banai gayeen jhopdiyan chodh kar un ke paas panah lainay ke liye pahadiyoun par aagaye hain. mere ghar mein pehlay hi gunjaish se ziyada log rahaish Pazeer hain mujhe pareshani hai ke mein un sab afraad ko khana kaisay khilaunga’ .
Doosri janib hukkaam nay kaha ke Bangladesh aur myanmar ke darmiyan mutanazia ilaqay mein moujood 5 hazaar Rohingya bhi tufan se buri tarhan mutasir hue hain. camp ke sarbarah Dil Mohammad nay kaha ke bachay ishaal ki bemari mein mubtala horahay hain aur hamaray paas peeney ka pani bhi mojood nahi. ziyada tar camps mein ghutnoun tak pani khada hai kyunkay myanmar hukkaam nay qareebi darya par dam bana diya hai. is hawalay se Bangladesh ke panah Guzeen commissionaire Mohammad abdul kalaam naay kaha ke hungami karwaiya ki jarahi hain.
2017 mein monsoon season ke tufan ke douran un panah Guzeen campon mein 170 afraad halaak hogaye they. guzashta baras aqwam mutahidda naay selaab ke baais zameeni today khiskane ke khatray ke pishِ nazar 30 hazaar Rohingya afraad ko un ilaqon se muntaqil kardiya tha. yaad rahay ke augst 2017 mein budh aksariyat par mushtamil myanmar ki riyasat raqain mein fouji karwai ki wajah se 7 laakh 40 Rohingya naqal makani karke Bangladesh aagaye they jahan pehlay se hi 2 laakh panah Guzeen campon mein muqeem they. –YTN STAFF