Friday, July 4, 2025
HomeJurmZameen khisakne ke baad Munnar ke Resort mein 60 sayyah phans gaiy

Zameen khisakne ke baad Munnar ke Resort mein 60 sayyah phans gaiy

Guzishta do dinon se shadeed baarish ke baayis Resort mein phansay sayyahon ko bahifazat bahar nikaalne Fouj ko talab karliya gaya.

Munnar Resort Landsliding Tourists

Munnar. Mutawatar do dinon se jari barish ke baayis Kerala ke Idukki zila mein chaay ke baagaat ke liye mashhoor Munnar mein zameen khisakne ki wajah se aik Resort ko jaanay wali sadak ke masdood hojane se wahan kam az kam 60 sayyah phans gay. Resort mein jo log phans gay un mein 20 bairooni sayyah hain. Ohdedaron ney kaha ke bairooni sayyaho ka talluq Rusia, Saudi Arabia aur Oman mumalik se hai. Kerala ke wazeer sayahat Mr. Kadakampally Surendaran ney kaha ke Munnar ke Pallivasal mein Plum Judi Resort mein maujood tamam sayyah mehfooz hain. Resort mein sayyahon ke phans jaanay ka ilm us waqt huwa jab aik sayyah ney apni pareshaniyon par aik video post ki jisay aik Telivsion Channel par telecast kya gaya. Riyasat mein guzishta do dinon se shadeed barish horahee hai. Sayyahon ko bahifazat nikaalne ke liye fouj ko talab karliya gaya. Darin asna America ney Americion shahrion ko safri intibah diya ke un ilaaqon ka daura na karen jahan zameen khisakne aur sailaab ka khadsha hai. Kerala mein ab tak 26 log halaak hogaye jin mein Idukki mein zameen khiskane se marnay walon mein 11 log bhi shaamil hain, taham jummay ke din barish se judi halakat ki report nahi hai aur na hi kahin zameen khiskane ka waqea paish aaya hai. jumaraat se hi Idukki mein Cheruthoni ke dam ke 5 darwazay khol dyie gay hain. Cheruthoni town ke zaireen ilaaqon ke logon ka takhlia krwadya gaya tha.