Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsZalim taqaton ke khilaaf Hajj taaqat ka muzahira: Iran

Zalim taqaton ke khilaaf Hajj taaqat ka muzahira: Iran

Tehran: Iran ke Supreme leader Ayatollah Ali Khamenei nay Hajj ke mauqa par apne pegham mein kaha hai ke Hajj bad unwan, Zalim, lout maar karne wali mutaqabbir taqatoun ke khilaaf taaqat ka muzahira hai. Ayatollah Ali Khamenei nay Hajj Beitullah ke mauqa par salana pegham mein kaha hai ke Ummat-e-Musalmah ke tamam mafadaat ittehaad mein hain, Yahi ittehaad muslim amah ko khatraat aur dushmanon se muqaabla karne ki qouvat deta hai. Supreme commander Iran ke bamujab Ummat-e-Musalmah ke tamam mafadaat ittehaad mein hain, Muslim amah ki wahdat khatraat aur dushmanon ke muqablay mein qowat day gi.

Unhoun nay mazeed kaha ke Iran musalman baradri ke dukh aur takaleef ko apna samajh kar inhen kam karne ki koshish karta hai. Iran ke supreme leader ne mazeed kaha hai ke maghribi Asia mumalik mein Americi mojoodgi khittay ke liye nuqsaan da, Tabah kun aur pasmandagi ka sabab hai.