New Delhi :Hindustan islami mubaligh Zakir Naik ki fouri hawalgi ke liye malaysia se baat cheet jari rakhega. Wizarat-e-kharja ke tarjuman Ravish kumar ne kaha hukoomat Hind ne Naik ki hawalgi ke liye malaysia hukoomat se rasmi darkhwast ki hai. hum malaysia se is silsilay mein baat cheet jari rakhenge. kumar neh kaha ke hindustan ka bohat se mumulk ke sath hawalgi moahida hai aur bohat se mumulk neh is muahiday ke tehat matlooba afrad ko Hindustan ke hawala bhi kiya hai. hindustan ke nizaam Adal par kabhi bhi aanch nahi aayi hai.
Malaysia ke Wazeer -e- Azam Mahathir bin Mohamad ne haal hi kaha ke islami mazhabi rehnuma Zakir Naik ko lagta hai ke usay Hindustan mein munasib insaaf nahi mileyga. Naik ko Hindustan ko hawala nah karne ka mulk ke paas haq hai. Mahathir bin Mohamad ke is bayan se Naik ki hawalgi ke maamla mein naya modh aagaya hai .
Qabil-e-ghour hai ke Zakir Naik 2016 mein Malaysia chalay gaye they aur malaysia neh inhen mustaqil shehriat ka darja diya hai. unka naam 1st July 2016 ko Bangladesh ke dar-ul-hukoomat Dhaka mein ek kife mein hue dehshat gardanah hamlay ke baad samnay aaya tha. dehshat gard tanzeem Islamic state ke is hamla mein 20 afraad ki mout hui thi.
Money laundering ke ilzaam ka saamna kar rahay Zakir Naik ke paas aamdani ka koi maloom zareya nahi hai, is ke bawajood Hindustan mein unke bank accounts mein 49 crore rupay jama hain. ED ne khusoosi adalat mein Zakir Naik ke khilaaf daakhil charge sheet mein yeh daawa kiya hai. judge MZ aazmi neh rawan saal 8 May ko Zakir Naik ke khilaaf ED ki taraf se money laundering ki rok thaam qanoon ( PMLA) ke tehat dair charge sheet ka notice liya tha .
Charge sheet mein kaha gaya hai duniya bhar mein ghoom ghoom kar tableegh karne walay islami mubalagh Zakir Naik ke paas rozgar ya karobar se aamdani ka koi maloom zareya nahi hai. aisay maamla mein bhi woh apne hindustani bank accounts mein 49. 20 crore rupay jama karwane karne mein kamyaab rahay .
Qaumi jaanch agency ab tak naik ke do sathiyon Amir Gujdar aur Nawaz uddin ko girftar kar chuki hai. ghair qanooni sargarmi rok thaam qanoon ke tehat agency ki FIR bunyad per ED ne saal 2016 mein Zakir Naik ke khilaaf muqadma darj kiya tha . –YTN STAFF